kahte haiñ kabhī gosht na khātā thā ma.arrī
phal-phūl pe kartā thā hamesha guzar-auqāt
ik dost ne bhūnā huā tītar use bhejā
shāyad ki vo shātir isī tarkīb se ho maat
ye ḳhvān-e-tar-o-tāza ma.arrī ne jo dekhā
kahne lagā vo sāhib-e-ġhufrān-o-luzūmāt
ai murġhak-e-bechāra zarā ye to batā tū
terā vo gunah kyā thā ye hai jis kī mukāfāt?
afsos-sad-afsos ki shāhīñ na banā tū
dekhe na tirī aañkh ne fitrat ke ishārāt!
taqdīr ke qaazī kā ye fatvā hai azal se
hai jurm-e-za.īfī kī sazā marg-e-mufājāt!