the dayār-e-nau zamīn-o-āsmāñ mere liye
vus.at-e-āġhosh mādar ik jahāñ mere liye
thī har ik jumbish nishān-e-lutf-e-jāñ mere liye
harf-e-be-matlab thī ḳhud merī zabāñ mere liye
dard-e-tiflī meñ agar koī rulātā thā mujhe
shorish-e-zanjīr-e-dar meñ lutf aatā thā mujhe
takte rahnā haa.e vo pahroñ talak sū-e-qamar
vo phaTe bādal meñ be-āvāz-pā us kā safar
pūchhnā rah rah ke us ke koh-o-sahrā kī ḳhabar
aur vo hairat daroġh-e-maslahat-āmez par
aañkh vaqf-e-dīd thī lab mā.il-e-guftār thā
dil na thā merā sarāpā zauq-e-istifsār thā