bhale dinoñ kī baat hai
bhalī sī ek shakl thī
na ye ki husn-e-tām ho
na dekhne meñ aam sī
na ye ki vo chale to kahkashāñ sī rahguzar lage
magar vo saath ho to phir bhalā bhalā safar lage
koī bhī rut ho us kī chhab
fazā kā rañg-rūp thī
vo garmiyoñ kī chhāñv thī
vo sardiyoñ kī dhuup thī
na muddatoñ judā rahe
na saath sub.h-o-shām ho
na rishta-e-vafā pe zid
na ye ki izn-e-ām ho
na aisī ḳhush-libāsiyāñ
ki sādgī gila kare
na itnī be-takallufī
ki aa.ina hayā kare
na iḳhtilāt meñ vo ram
ki bad-maza hoñ ḳhvāhisheñ
na is qadar supurdagī
ki zach kareñ navāzisheñ
na āshiqī junūn kī
ki zindagī azaab ho
na is qadar kaThor-pan
ki dostī ḳharāb ho
kabhī to baat bhī ḳhafī
kabhī sukūt bhī suḳhan
kabhī to kisht-e-za.afarāñ
kabhī udāsiyoñ kā ban
sunā hai ek umr hai
muāmalāt-e-dil kī bhī
visāl-e-jāñ-fazā,n to kyā
firāq-e-jāñgusil kī bhī
so ek roz kyā huā
vafā pe bahs chhiḌ ga.ī
maiñ ishq ko amar kahūñ
vo merī zid se chiḌ ga.ī
maiñ ishq kā asiir thā
vo ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke saath ko
vo bad-tar-az-havas kahe
shajar hajar nahīñ ki ham
hamesha pā-ba-gil raheñ
na Dhor haiñ ki rassiyāñ
gale meñ mustaqil raheñ
mohabbatoñ kī vus.ateñ
hamāre dast-o-pā meñ haiñ
bas ek dar se nisbateñ
sagān-e-bā-vafā meñ haiñ
maiñ koī panting nahīñ
ki ik frame meñ rahūñ
vahī jo man kā miit ho
usī ke prem meñ rahūñ
tumhārī soch jo bhī ho
maiñ us mizāj kī nahīñ
mujhe vafā se bair hai
ye baat aaj kī nahīñ
na us ko mujh pe maan thā
na mujh ko us pe zo.am hī
jo ahd hī koī na ho
to kyā ġham-e-shikastagī
so apnā apnā rāsta
hañsī-ḳhushī badal diyā
vo apnī raah chal paḌī
maiñ apnī raah chal diyā
bhalī sī ek shakl thī
bhalī sī us kī dostī
ab us kī yaad raat din
nahīñ, magar kabhī kabhī