wo tum tak kaise aata

vo tum tak kaise aatā jism se bhārī saaya thā saare kamre ḳhālī the saḌkoñ par bhī koī na thā pīchhe pīchhe kyuuñ aa.e aage bhī to rasta thā khiḌkī hī meñ ThiThur ga.ī kaalī aur chaukor havā dīvāroñ par ā.īne ā.īnoñ meñ sabz ḳhalā baiThī thī vo kursī par dāñtoñ meñ uñglī ko dabā

Read More »

hua KHatm dariya to sahra laga

huā ḳhatm dariyā to sahrā lagā safar kā tasalsul kahāñ jā lagā ajab raat bastī kā naqsha lagā har ik naqsh andar se TuuTā lagā tumhārā hazāroñ se rishta lagā kaho sā.īñ kā kaam kaisā lagā abhī khiñch hī jaatī lahū kī dhanak miyāñ tiir Tuk terā tirchhā lagā lahū meñ utartī rahī chāndnī badan

Read More »

phir kisi KHwab ke parde se pukara jaun

phir kisī ḳhvāb ke parde se pukārā jā.ūñ phir kisī yaad kī talvār se maarā jā.ūñ phir koī vus.at-e-āfāq pe saaya Daale phir kisī aañkh ke nuqte meñ utārā jā.ūñ din ke hañgāmoñ meñ dāman kahīñ mailā ho jaa.e raat kī nuqra.ī ātish meñ nikhārā jā.ūñ ḳhushk kho.e hue gumnām jazīre kī tarah dard ke

Read More »

na koi rok saka KHwab ke safiron ko

na koī rok sakā ḳhvāb ke safīroñ ko udaas kar ga.e nīndoñ ke rāhgīroñ ko vo mauj ban ke uThī yaad ke samundar se tabāh kar ga.ī tanhā.ī ke jazīroñ ko laraz ke TuuT ga.iiñ haft-rañg dīvāreñ havā chalī to rihā.ī milī asīroñ ko dafīne paañv tale se guzar ga.e kitne maiñ dekhtā hī rahā

Read More »

pani ko patthar kahte hain

paanī ko patthar kahte haiñ kyā kuchh dīda-var kahte haiñ ḳhush-fahmī kī had hotī haiñ ḳhud ko dānish-var kahte haiñ kaun lagī-lipTī rakhtā hai ham tere muñh par kahte haiñ Thiik hī kahte hoñge phir to jab ye professor kahte haiñ sab un ko andar samjhe the vo ḳhud ko bāhar kahte haiñ terā is

Read More »

haj ka safar hai isMein koi sath bhi to ho

haj kā safar hai is meñ koī saath bhī to ho parda-nashīñ se apnī mulāqāt bhī to ho kab se Tahal rahe haiñ garebān khol kar ḳhālī ghaTā ko kyā kareñ barsāt bhī to ho din hai ki Dhal nahīñ rahā is reg-zār meñ manzil bhale na aa.e kahīñ raat bhī to ho majmūa chhāpne

Read More »

ye phailti shikastagi ehsas ki taraf

ye phailtī shikastagī ehsās kī taraf dariyā ravāñ-davāñ haiñ mirī pyaas kī taraf us kā badan jhukā huā patthar kī bench par apne qadam bhī muḌte hue ghaas kī taraf dikhlā rahī hai dhuup bashāshat kā aa.ina aur chhāñv khīñchtī hai mujhe yaas kī taraf ashiyā kī lazzatoñ meñ aTaktā huā badan aur ruuh kā

Read More »

ganThi hai usne dosti ek pesh-imam se

gāñThī hai us ne dostī ik pesh-imām se ‘ādil’ uThā lo haath duā-o-salām se paanī ne rāsta na diyā jān-būjh kar ġhote lagā.e phir bhī rahe tishna-kām se maiñ us galī se sar ko jhukā.e guzar gayā chilġhoze pheñktī rahī vo mujh pe baam se vo kaun thā jo din ke ujāle meñ kho gayā

Read More »

chehre pe chamchamati hui dhup mar gai

chehre pe chamchamātī huī dhuup mar ga.ī sūraj ko Dhaltā dekh ke phir shaam Dar ga.ī mab.hūt se khaḌe rahe sab bas kī line meñ kūlhe uchhāltī huī bijlī guzar ga.ī sūraj vahī thā dhuup vahī shahr bhī vahī kyā chiiz thī jo jism ke andar ThiThar ga.ī ḳhvāhish sukhāne rakkhī thī koThe pe dopahar

Read More »

soe hue palang ke sae jaga gaya

so.e hue palañg ke saa.e jagā gayā khiḌkī khulī to āsmāñ kamre meñ aa gayā āñgan meñ terī yaad kā jhoñkā jo aa gayā tanhā.ī ke daraḳht se patte uḌā gayā hañste chamakte ḳhvāb ke chehre bhī miT ga.e battī jalī to man meñ añdherā sā chhā gayā aayā thā kaale ḳhuun kā sailāb pichhlī

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā