girte rahe nujūm andhere kī zulf se
girte rahe nujūm andhere kī zulf se shab bhar rahīñ ḳhamoshiyāñ sāyoñ se ham-kanār
girte rahe nujūm andhere kī zulf se shab bhar rahīñ ḳhamoshiyāñ sāyoñ se ham-kanār
yādoñ ne use toḌ diyā maar ke patthar ā.īne kī ḳhandaq meñ jo parchhā.īñ paḌī thī
jism kī miTTī na le jaa.e bahā kar saath meñ dil kī gahrā.ī meñ girtā ḳhvāhishoñ kā ābshār
jaane kis ko DhūñDne dāḳhil huā hai jism meñ haDDiyoñ meñ rāsta kartā huā piilā buḳhār
nashsha sā Doltā hai tire añg añg par jaise abhī bhigo ke nikālā ho jaam se
ḳhvāhish sukhāne rakkhī thī koThe pe dopahar ab shaam ho chalī miyāñ dekho kidhar ga.ī
kab se Tahal rahe haiñ garebān khol kar ḳhālī ghaTā ko kyā kareñ barsāt bhī to ho
tum ko da.avā hai suḳhan-fahmī kā jaao ‘ġhālib’ ke taraf-dār bano
dariyā kī vus.atoñ se use nāpte nahīñ tanhā.ī kitnī gahrī hai ik jaam bhar ke dekh
bismil ke taḌapne kī adāoñ meñ nasha thā maiñ haath meñ talvār liye jhuum rahā thā
Recent Poetry
ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī
janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat
vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai
ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā