sawal

ik sañg tarāsh jis ne barsoñ hīroñ kī tarah sanam tarāshe aaj apne sanam-kade meñ tanhā majbūr niDhāl zaḳhm-ḳhurda din raat paḌā karāhtā hai chehre pe ujaaḌ zindagī ke lamhāt kī an-ginat ḳharāsheñ āñkhoñ ke shikasta marqadoñ meñ rūThī huī hasratoñ kī lāsheñ sāñsoñ kī thakan badan kī ThanDak ehsās se kab talak lahū le

Read More »

kar gae kuch kahan

itnī muddat dil-e-āvāra kahāñ thā ki tujhe apne hī ghar ke dar-o-bām bhulā baiThe haiñ yaad yāroñ ne to kab harf-e-mohabbat rakkhā ġhair bhī ta.ana o dushnām bhulā baiThe haiñ to samajhtā thā ki ye dar-badarī kā aalam duur desoñ kī ināyat thā so ab ḳhatm huā tū ne jaanā thā ki āshufta-sarī kā mausam

Read More »

ban-bas ki ek sham

ye āḳhirī saa.at shaam kī hai ye shaam jo hai mahjūrī kī ye shaam apnoñ se duurī kī is shaam ufuq ke hoñToñ par jo laalī hai zahrīlī hai is shaam ne merī āñkhoñ se sahbā-e-tarab sab pī lī hai ye shaam ġhazab tanhā.ī kī patjhaḌ kī havā barfīlī hai is shaam kī rañgat piilī

Read More »

kali diwar

kal washington shahr kī ham ne sair bahut kī yaar guuñj rahī thī sab duniyā meñ jis kī jai-jai-kār mulkoñ mulkoñ ham ghūme the banjāroñ kī misl lekin is kī saj-dhaj sach-much dil-dāroñ kī misl raushniyoñ ke rañg baheñ yuuñ rasta nazar na aa.e man kī āñkhoñ vaalā bhī yaañ andhā ho ho jaa.e ūñche

Read More »

hitch-hiker

maiñ ki do roz kā mehmān tire shahr meñ thā ab chalā huuñ to koī faisla kar bhī na sakā zindagī kī ye ghaḌī TūTtā pul ho jaise ki Thahar bhī na sakūñ aur guzar bhī na sakūñ mehrbāñ haiñ tirī āñkheñ magar ai mūnis-e-jāñ in se har zaḳhm-e-tamannā to nahīñ bhar saktā aisī be-nām

Read More »

ai mere watan ke KHush-nawao

ik umr ke ba.ad tum mile ho ai mere vatan ke ḳhush-navāo har hijr kā din thā hashr kā din dozaḳh the firāq ke alaao ro.uuñ ki hañsūñ samajh na aa.e hāthoñ meñ haiñ phuul dil meñ ghaao tum aa.e to saath hī tumhāre bichhḌe hue yaar yaad aa.e ik zaḳhm pe tum ne haath

Read More »

to behtar hai yahi

ye tirī āñkhoñ kī be-zārī ye lahje kī thakan kitne andeshoñ kī hāmil haiñ ye dil kī dhaḌkaneñ pesh-tar is ke ki ham phir se muḳhālif samt ko be-ḳhudā-hāfiz kahe chal deñ jhukā kar gardaneñ aao us dukh ko pukāreñ jis kī shiddat ne hameñ is qadar ik dūsre ke ġham se vābasta kiyā vo

Read More »

pahli aawaz

itnā sannāTā ki jaise ho sukūt-e-sahrā aisī tārīkī ki āñkhoñ ne duhā.ī dī hai jaane zindāñ se udhar kaun se manzar hoñge mujh ko dīvār hī dīvār dikhā.ī dī hai duur ik fāḳhta bolī hai bahut duur kahīñ pahlī āvāz mohabbat kī sunā.ī dī hai

Read More »

sarhaden

kis se Darte ho ki sab log tumhārī hī tarah ek se haiñ vahī āñkheñ vahī chehre vahī dil kis pe shak karte ho jitne bhī musāfir haiñ yahāñ ek hī sab kā qabīla vahī paikar vahī gil ham to vo the ki mohabbat thā vatīra jin kā pyaar se miltā to dushman ke bhī

Read More »

main aur tu

roz jab dhuup pahāḌoñ se utarne lagtī koī ghaTtā huā baḌhtā huā bekal saaya ek dīvār se kahtā ki mire saath chalo aur zanjīr-e-rifāqat se gurezāñ dīvār apne pindār ke nashshe meñ sadā istāda ḳhvāhish-e-hamdam-e-derīna pe hañs detī thī kaun dīvār kisī saa.e ke ham-rāh chalī kaun dīvār hamesha magar istāda rahī vaqt dīvār kā

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā