bazm-e-insan mein bhi ek raat basar kar dekho

bazm-e-insāñ meñ bhī ik raat basar kar dekho ek baar apnī zamīñ par bhī utar kar dekho is ufuq par na agar jannat-e-mau.ūda milī is ufuq tak bhī jo chāho to safar kar dekho koī Duubī huī kashtī hai ki sāhil kā nishāñ apnī sochoñ ke samundar se ubhar kar dekho ḳhud ko dekho mire

Read More »

phir bhayanak tirgi mein aa gae

phir bhayānak tīrgī meñ aa ga.e ham gajar bajne se dhokā khā ga.e haa.e ḳhvāboñ kī ḳhayābāñ-sāziyāñ aañkh kyā kholī chaman murjhā ga.e kaun the āḳhir jo manzil ke qarīb aa.ine kī chādareñ phailā ga.e kis tajallī kā diyā ham ko fareb kis dhundalke meñ hameñ pahuñchā ga.e un kā aanā hashr se kuchh kam

Read More »

wo koi aur na tha chand KHushk patte the

vo koī aur na thā chand ḳhushk patte the shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe ro.e the abhī abhī tumheñ sochā to kuchh na yaad aayā abhī abhī to ham ik dūsre se bichhḌe the tumhāre ba.ad chaman par jab ik nazar Daalī kalī kalī meñ ḳhizāñ ke charāġh jalte the tamām umr vafā

Read More »

gul tera rang chura lae hain gulzaron mein

gul tirā rañg churā laa.e haiñ gulzāroñ meñ jal rahā huuñ bharī barsāt kī bauchhāroñ meñ mujh se katrā ke nikal jā magar ai jān-e-hayā dil kī lau dekh rahā huuñ tire ruḳhsāroñ meñ husn-e-be-gāna-e-ehsās-e-jamāl achchhā hai ġhunche khilte haiñ to bik jaate haiñ bāzāroñ meñ zikr karte haiñ tirā mujh se ba-unvān-e-jafā chāra-gar par

Read More »

tu jo badla to zamana bhi badal jaega

tū jo badlā to zamāna bhī badal jā.egā ghar jo sulgā to bharā shahr bhī jal jā.egā sāmne aa ki mirā ishq hai mantiq meñ asiir aag bhaḌkī to ye patthar bhī pighal jā.egā dil ko maiñ muntazir-e-abr-e-karam kyuuñ rakkhūñ phuul hai qatra-e-shabnam se bahal jā.egā mausam-e-gul agar is haal meñ aayā bhī to kyā

Read More »

hamesha zulm ke manzar hamein dikhae gae

hamesha zulm ke manzar hameñ dikhā.e ga.e pahāḌ toḌe ga.e aur mahal banā.e ga.e tulū-e-sub.h kī afvāh itnī aam huī ki nisf shab ko gharoñ ke diye bujhā.e ga.e ab ek baar to qudrat javāb-dah Thahre hazār baar ham insān āzmā.e ga.e falak kā tantana bhī TuuT kar zamīñ pe girā sutūn ek gharauñde ke

Read More »

kahin wo meri mohabbat mein ghul raha hi na ho

kahīñ vo merī mohabbat meñ ghul rahā hī na ho ḳhudā kare use ye tajraba huā hī na ho supurdagī mirā me.aar to nahīñ lekin maiñ sochtā huuñ tire ruup meñ ḳhudā hī na ho maiñ tujh ko pā ke bhī kis shaḳhs kī talāsh meñ huuñ mire ḳhayāl meñ koī tire sivā hī na

Read More »

itne bedar zamane mein ye sazish bhari raat

itne bedār zamāne meñ ye sāzish bharī raat merī tārīḳh ke siine pe utar aa.ī thī apnī sañgīnoñ meñ is raat kī saffāk sipah duudh piite hue bachchoñ ko piro laa.ī thī ghar ke āñgan meñ ravāñ ḳhuun thā ghar vāloñ kā aur har khet pe sho.aloñ kī ghaTā chhā.ī thī rāste band the lāshoñ

Read More »

ehsas mein phul khil rahe hain

ehsās meñ phuul khil rahe haiñ patjhaḌ ke ajiib silsile haiñ kuchh itnī shadīd tīrgī hai āñkhoñ meñ sitāre tairte haiñ dekheñ to havā jamī huī hai socheñ to daraḳht jhūmte haiñ suqrāt ne zahr pī liyā thā ham ne jiine ke dukh sahe haiñ ham tujh se bigaḌ ke jab bhī uThe phir tere

Read More »

mera ghurur tujhe kho ke haar man gaya

mirā ġhurūr tujhe kho ke haar maan gayā maiñ choT khā ke magar apnī qadr jaan gayā kahīñ ufuq na milā merī dasht-gardī ko maiñ terī dhun meñ bharī kā.enāt chhān gayā ḳhudā ke ba.ad to be-intihā añdherā hai tirī talab meñ kahāñ tak na merā dhyān gayā jabīñ pe bal bhī na aatā gañvā

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā