zist aazar hui jati hai

ziist āzār huī jaatī hai saañs talvār huī jaatī hai jism be-kār huā jaatā hai ruuh bedār huī jaatī hai kaan se dil meñ utartī nahīñ baat aur guftār huī jaatī hai Dhal ke niklī hai haqīqat jab se kuchh pur-asrār huī jaatī hai ab to har zaḳhm kī muñh-band kalī lab-e-iz.hār huī jaatī hai

Read More »

marun to main kisi chehre mein rang bhar jaun

marūñ to maiñ kisī chehre meñ rañg bhar jā.ūñ ‘nadīm’ kaash yahī ek kaam kar jā.ūñ ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb kī pyaas jo izn ho to tirī yaad se guzar jā.ūñ mirā vajūd mirī ruuh ko pukārtā hai tirī taraf bhī chalūñ to Thahar Thahar jā.ūñ tire jamāl kā partav hai sab hasīnoñ par

Read More »

ejaz hai ye teri pareshan-nazari ka

ejaaz hai ye terī pareshāñ-nazarī kā ilzām na dhar ishq pe shorīda-sarī kā is vaqt mire kalba-e-ġham meñ tirā aanā bhaTkā huā jhoñkā hai nasīm-e-saharī kā tujh se tire kūche kā pata pūchh rahā huuñ is vaqt ye aalam hai mirī be-ḳhabarī kā ye farsh tire raqs se jo guuñj rahā hai hai arsh-e-mo.allā mirī

Read More »

tu bigaDta bhi hai KHas apne hi andaz ke sath

tū bigaḌtā bhī hai ḳhaas apne hī andāz ke saath phuul khilte haiñ tire sho.ala-e-āvāz ke saath ek baar aur bhī kyuuñ arz-e-tamannā na karūñ ki tū inkār bhī kartā hai ajab naaz ke saath lai jo TuuTī to sadā aa.ī shikast-e-dil kī rag-e-jāñ kā koī rishta hai rag-e-sāz ke saath tū pukāre to chamak

Read More »

go mere dil ke zaKHm zati hain

go mire dil ke zaḳhm zaatī haiñ in kī Tīseñ to kā.enātī haiñ aadmī shash-jahāt kā dūlhā vaqt kī gardisheñ barātī haiñ faisle kar rahe haiñ arsh-nashīñ āfateñ aadmī pe aatī haiñ kaliyāñ kis daur ke tasavvur meñ ḳhuun hote hī muskurātī haiñ tere vaade hoñ jin ke shāmil-e-hāl vo umañgeñ kahāñ samātī haiñ

Read More »

ek mohabbat ke ewaz arz-o-sama de dunga

ik mohabbat ke evaz arz-o-samā de dūñgā tujh se kāfir ko to maiñ apnā ḳhudā de dūñgā justujū bhī mirā fan hai mire bichhḌe hue dost jo bhī dar band milā us pe sadā de dūñgā ek pal bhī tire pahlū meñ jo mil jaa.e to maiñ apne ashkoñ se use āb-e-baqā de dūñgā ruḳh

Read More »

barish ki rut thi raat thi pahlu-e-yar tha

bārish kī rut thī raat thī pahlū-e-yār thā ye bhī tilism-e-gardish-e-lail-o-nahār thā kahte haiñ log auj pe thā mausam-e-bahār dil kah rahā hai arbada-e-zulf-e-yār thā ab to visāl-e-yār se behtar hai yād-e-yār maiñ bhī kabhī fareb-e-nazar kā shikār thā tū merī zindagī se bhī katrā ke chal diyā tujh ko to merī maut pe bhī

Read More »

teri mahfil bhi mudawa nahin tanhai ka

terī mahfil bhī mudāvā nahīñ tanhā.ī kā kitnā charchā thā tirī anjuman-ārā.ī kā dāġh-e-dil naqsh hai ik lāla-e-sahrā.ī kā ye asāsa hai mirī bādiya-paimā.ī kā jab bhī dekhā hai tujhe ālam-e-nau dekhā hai marhala tai na huā terī shanāsā.ī kā vo tire jism kī qauseñ hoñ ki mehrāb-e-haram har haqīqat meñ milā ḳham tirī añgḌā.ī

Read More »

umr bhar usne isi tarah lubhaya hai mujhe

umr bhar us ne isī tarah lubhāyā hai mujhe vo jo is dasht ke us paar se laayā hai mujhe kitne ā.īnoñ meñ ik aks dikhāyā hai mujhe zindagī ne jo akelā kabhī paayā hai mujhe tū mirā kufr bhī hai tū mirā īmān bhī hai tū ne luuTā hai mujhe tū ne basāyā hai

Read More »

sham ko subh-e-chaman yaad aai

shaam ko sub.h-e-chaman yaad aa.ī kis kī ḳhushbu-e-badan yaad aa.ī jab ḳhayāloñ meñ koī moḌ aayā tere gesū kī shikan yaad aa.ī yaad aa.e tire paikar ke ḳhutūt apnī kotāhī-e-fan yaad aa.ī chāñd jab duur ufuq par Duubā tere lahje kī thakan yaad aa.ī din shuāoñ se ulajhte guzrā raat aa.ī to kiran yaad aa.ī

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā