hum kabhi ishq ko wahshat nahin banne dete

ham kabhī ishq ko vahshat nahīñ banñe dete dil kī tahzīb ko tohmat nahīñ banñe dete lab hī lab hai to kabhī aur kabhī chashm hī chashm naqsh tere tirī sūrat nahīñ banñe dete ye sitāre jo chamakte haiñ pas-e-abr-e-siyāh tere ġham ko mirī aadat nahīñ banñe dete un kī jannat bhī koī dasht-e-balā hī

Read More »

dawa to kiya husn-e-jahan-soz ka sab ne

daavā to kiyā husn-e-jahāñ-soz kā sab ne duniyā kā magar ruup baḌhāyā tirī chhab ne tū niind meñ bhī merī taraf dekh rahā thā sone na diyā mujh ko siyah-chashmi-e-shab ne har zaḳhm pe dekhī haiñ tire pyaar kī mohreñ ye gul bhī khilā.e haiñ terī surḳhi-e-lab ne ḳhushbu-e-badan aa.ī hai phir mauj-e-sabā se phir

Read More »

chand us raat bhi nikla tha magar us ka wajud

chāñd us raat bhī niklā thā magar us kā vajūd itnā ḳhūñ-rañg thā jaise kisī ma.asūm kī laash taare us raat bhī chamke the magar is Dhab se jaise kaT jaa.e koī jism-e-hasīñ qāsh-ba-qāsh itnī bechain thī us raat mahak phūloñ kī jaise maañ jis ko ho kho.e hue bachche kī talāsh peḌ chīḳh uThte

Read More »

mudawa habs ka hone laga aahista aahista

mudāvā habs kā hone lagā āhista āhista chalī aatī hai vo mauj-e-sabā āhista āhista zarā vaqfa se niklegā magar niklegā chāñd āḳhir ki sūraj bhī to maġhrib meñ chhupā āhista āhista koī suntā to ik kohrām barpā thā havāoñ meñ shajar se ek pattā jab girā āhista āhista abhī se harf-e-ruḳhsat kyuuñ jab aadhī raat

Read More »

suraj ko nikalna hai so niklega dobara

sūraj ko nikalnā hai so niklegā dobārā ab dekhiye kab Dūbtā hai sub.h kā taarā maġhrib meñ jo Duube use mashriq hī nikāle maiñ ḳhuub samajhtā huuñ mashiyyat kā ishārā paḌhtā huuñ jab us ko to sanā kartā huuñ rab kī insān kā chehra hai ki qur.ān kā paara jī haar ke tum paar na

Read More »

ajib rang tere husn ka lagaw mein tha

ajiib rañg tire husn kā lagāv meñ thā gulāb jaise kaḌī dhuup ke alaav meñ thā hai jis kī yaad mirī fard-e-jurm kī surḳhī usī kā aks mire ek ek ghaav meñ thā yahāñ vahāñ se kināre mujhe bulāte rahe magar maiñ vaqt kā dariyā thā aur bahāv meñ thā urūs-e-gul ko sabā jaise gudgudā

Read More »

jo log dushman-e-jaan the wahi sahaare the

jo log dushman-e-jāñ the vahī sahāre the munāfe the mohabbat meñ ne ḳhasāre the huzūr-e-shāh bas itnā hī arz karnā hai jo iḳhtiyār tumhāre the haq hamāre the ye aur baat bahāreñ gurez-pā niklīñ guloñ ke ham ne to sadqe bahut utāre the ḳhudā kare ki tirī umr meñ gine jaa.eñ vo din jo ham

Read More »

ajab surur mila hai mujhe dua kar ke

ajab surūr milā hai mujhe duā kar ke ki muskurāyā ḳhudā bhī sitāra vā kar ke gadā-gadī bhī ik uslūb-e-fan hai jab maiñ ne usī ko maañg liyā us se iltijā kar ke shab-e-firāq ke har jabr ko shikast huī ki maiñ ne sub.h to kar lī ḳhudā ḳhudā kar ke ye soch kar ki

Read More »

main kisi shaKHs se bezar nahin ho sakta

maiñ kisī shaḳhs se bezār nahīñ ho saktā ek zarra bhī to be-kār nahīñ ho saktā is qadar pyaar hai insāñ kī ḳhatāoñ se mujhe ki farishta mirā me.aar nahīñ ho saktā ai ḳhudā phir ye jahannam kā tamāshā kiyā hai terā shahkār to finnār nahīñ ho saktā ai haqīqat ko faqat ḳhvāb samajhne vaale

Read More »

aaKHiri bar andhere ke pujari sun len

āḳhirī baar añdhere ke pujārī sun leñ maiñ sahar huuñ maiñ ujālā huuñ haqīqat huuñ maiñ maiñ mohabbat kā to detā huuñ mohabbat se javāb lekin a.adā ke liye qahr-o-qayāmat huuñ maiñ mirā dushman mujhe lalkār ke jā.egā kahāñ ḳhaak kā taish huuñ aflāk kī dahshat huuñ maiñ

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā