himala
ai himāla ai fasīl-e-kishvar-e-hindustān chūmtā hai terī peshānī ko jhuk kar āsmāñ tujh meñ kuchh paidā nahīñ derīna rozī ke nishāñ tū javāñ hai gardish-e-shām-o-sahar ke darmiyāñ ek jalva thā kalīm-e-tūr-e-sīnā ke liye tū tajallī hai sarāpā chashm-e-bīnā ke liye imtihān-e-dīda-e-zāhir meñ kohistāñ hai tū pāsbāñ apnā hai tū dīvār-e-hindustāñ hai tū matla-e-avval falak jis