intisab

hamārī chāhatoñ kī buz-dilī thī varna kyā hotā agar ye shauq ke mazmūñ vafā ke ahd-nāme aur diloñ ke marsiye ik dūsre ke naam kar dete ziyāda se ziyāda chāhateñ bad-nām ho jātīñ hamārī dostī kī dāstāneñ aam ho jātīñ to kyā hotā ye ham jo ziist ke har ishq meñ sachchā.iyāñ socheñ ye ham

Read More »

kaniz

huzūr aap aur nisf shab mire makān par huzūr kī tamām-tar balā.eñ merī jaan par huzūr ḳhairiyat to hai huzūr kyuuñ ḳhamosh haiñ huzūr boliye ki vasvase vabāl-e-hosh haiñ huzūr hoñT is tarah se kapkapā rahe haiñ kyuuñ huzūr aap har qadam pe laḌ-khḌā rahe haiñ kyuuñ huzūr aap kī nazar meñ niiñd kā ḳhumār

Read More »

abhi hum KHub-surat hain

abhī ham ḳhūb-sūrat haiñ hamāre jism aurāq-e-ḳhizānī ho ga.e haiñ aur ridā-e-zaḳhm se ārāsta haiñ phir bhī dekho to hamārī ḳhush-numā.ī par koī harf aur kashīda-qāmtī meñ ḳham nahīñ aayā hamāre hoñT zahrīlī rutoñ se kāsnī haiñ aur chehre ratjagoñ kī sho.alagī se ābnūsī ho chuke haiñ aur zaḳhmī ḳhvāb nādīda jazīroñ kī zamīñ par

Read More »

hamdard

ai dil un āñkhoñ par na jā jin meñ vafūr-e-rañj se kuchh der ko tere liye aañsū agar lahrā ga.e ye chand lamhoñ kī chamak jo tujh ko pāgal kar ga.ī in jugnuoñ ke nuur se chamkī hai kab vo zindagī jis ke muqaddar meñ rahī sub.h-e-talab se tīrgī kis soch meñ gum-sum hai tū

Read More »

ai mere sare logo

ab mire dūsre baazū pe vo shamshīr hai jo is se pahle bhī mirā nisf badan kaaT chukī usī bandūq kī naalī hai mirī samt ki jo is se pahle mirī shah-rag kā lahū chaaT chukī phir vahī aag dar aa.ī hai mirī galiyoñ meñ phir mire shahr meñ bārūd kī bū phailī hai phir

Read More »

KHwabon ke byopari

ham ḳhvāboñ ke byopārī the par is meñ huā nuqsān baḌā kuchh baḳht meñ Dheroñ kālak thī kuchh ab ke ġhazab kā kaal paḌā ham raakh liye haiñ jholī meñ aur sar pe hai sāhūkār khaḌā yaañ buuñd nahīñ hai Deve meñ vo bāj-byāj kī baat kare ham bāñjh zamīn ko takte haiñ vo Dhor

Read More »

agar ye sab kuchh nahin

mile to ham aaj bhī haiñ lekin na mere dil meñ vo tishnagī thī ki tujh se mil kar kabhī na bichhḌūñ na aaj tujh meñ vo zindagī thī ki jism-o-jāñ meñ ubaal aa.e na ḳhvāb-zāroñ meñ raushnī thī na merī āñkheñ charāġh kī lau na tujh meñ hī ḳhud-supurdagī thī na baat karne kī

Read More »

dosti ka hath

guzar ga.e ka.ī mausam ka.ī ruteñ badlīñ udaas tum bhī ho yaaro udaas ham bhī haiñ faqat tumhīñ ko nahīñ rañj-e-chāk-dāmānī ki sach kaheñ to darīda-libās ham bhī haiñ tumhāre baam kī sham.eñ bhī tābnāk nahīñ mire falak ke sitāre bhī zard zard se haiñ tumhāre ā.ina-ḳhāne bhī zañg-ālūda mire surāhī o sāġhar bhī gard

Read More »

eid-card

tujh se bichhaḌ kar bhī zinda thā mar mar kar ye zahr piyā hai chup rahnā āsān nahīñ thā barsoñ dil kā ḳhuun kiyā hai jo kuchh guzrī jaisī guzrī tujh ko kab ilzām diyā hai apne haal pe ḳhud royā huuñ ḳhud hī apnā chaak siyā hai kitnī jāñkāhī se maiñ ne tujh ko

Read More »

mat qatl karo aawazon ko

tum apne aqīdoñ ke neze har dil meñ utāre jaate ho ham log mohabbat vaale haiñ tum ḳhanjar kyuuñ lahrāte ho is shahr meñ naġhme bahne do bastī meñ hameñ bhī rahne do ham pālanhār haiñ phūloñ ke ham ḳhushbū ke rakhvāle haiñ tum kis kā lahū piine aa.e ham pyaar sikhāne vaale haiñ is

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā