zindagī terī atā thī so tire naam kī hai
zindagī terī atā thī so tire naam kī hai ham ne jaise bhī basar kī tirā ehsāñ jānāñ
zindagī terī atā thī so tire naam kī hai ham ne jaise bhī basar kī tirā ehsāñ jānāñ
zindagī phailī huī thī shām-e-hijrāñ kī tarah kis ko itnā hausla thā kaun jī kar dekhtā
ik ye bhī to andāz-e-ilāj-e-ġham-e-jāñ hai ai chāragaro dard baḌhā kyuuñ nahīñ dete
vo apne zo.am meñ thā be-ḳhabar rahā mujh se use ḳhabar hī nahīñ maiñ nahīñ rahā us kā
ik to ham ko adab ādāb ne pyāsā rakkhā us pe mahfil meñ surāhī ne bhī gardish nahīñ kī
vo ḳhaar ḳhaar hai shāḳh-e-gulāb kī mānind maiñ zaḳhm zaḳhm huuñ phir bhī gale lagā.ūñ use
pahle se marāsim na sahī phir bhī kabhī to rasm-o-rah-e-duniyā hī nibhāne ke liye aa
mai-kade meñ kyā takalluf mai-kashī meñ kyā hijāb bazm-e-sāqī meñ adab ādāb mat dekhā karo
is ahd-e-zulm meñ maiñ bhī sharīk huuñ jaise mirā sukūt mujhe saḳht mujrimāna lagā
Recent Poetry
ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī
janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat
vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai
ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā