ek gae aur bakri

Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn

ik charāgah harī bharī thī kahīñ

thī sarāpā bahār jis kī zamīñ

kyā samāñ us bahār kā ho bayāñ

har taraf saaf nadiyāñ thiiñ ravāñ

the anāroñ ke be-shumār daraḳht

aur pīpal ke sāya-dār daraḳht

ThanDī ThanDī havā.eñ aatī thiiñ

tā.eroñ kī sadā.eñ aatī thiiñ

kisī naddī ke paas ik bakrī

charte charte kahīñ se aa niklī

jab Thahar kar idhar udhar dekhā

paas ik gaay ko khaḌe paayā

pahle jhuk kar use salām kiyā

phir salīqe se yuuñ kalām kiyā

kyoñ baḌī bī mizāj kaise haiñ

gaay bolī ki ḳhair achchhe haiñ

kaT rahī hai burī-bhalī apnī

hai musībat meñ zindagī apnī

jaan par aa banī hai kyā kahiye

apnī qismat burī hai kyā kahiye

dekhtī huuñ ḳhudā kī shaan ko maiñ

ro rahī huuñ buroñ kī jaan ko maiñ

zor chaltā nahīñ ġharīboñ kā

pesh aayā likhā nasīboñ kā

aadmī se koī bhalā na kare

us se paalā paḌe ḳhudā na kare

duudh kam duuñ to baḌbaḌātā hai

huuñ jo dublī to bech khātā hai

hathkandoñ se ġhulām kartā hai

kin fareboñ se raam kartā hai

us ke bachchoñ ko pāltī huuñ maiñ

duudh se jaan Dāltī huuñ maiñ

badle nekī ke ye burā.ī hai

mere allāh tirī duhā.ī hai

sun ke bakrī ye mājrā saarā

bolī aisā gila nahīñ achchhā

baat sachchī hai be-maza lagtī

maiñ kahūñgī magar ḳhudā-lagtī

ye charāgah ye ThanDī ThanDī havā

ye harī ghaas aur ye saaya

aisī ḳhushiyāñ hameñ nasīb kahāñ

ye kahāñ be-zabāñ ġharīb kahāñ

ye maze aadmī ke dam se haiñ

lutf saare usī ke dam se haiñ

us ke dam se hai apnī ābādī

qaid ham ko bhalī ki āzādī

sau tarah kā banoñ meñ hai khaTkā

vaañ kī guzrān se bachā.e ḳhudā

ham pe ehsān hai baḌā us kā

ham ko zebā nahīñ gila us kā

qadr ārām kī agar samjho

aadmī kā kabhī gila na karo

gaay sun kar ye baat sharmā.ī

aadmī ke gile se pachhtā.ī

dil meñ parkhā bhalā-burā us ne

aur kuchh soch kar kahā us ne

yuuñ to chhoTī hai zaat bakrī kī

dil ko lagtī hai baat bakrī kī

Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā

%d bloggers like this: