uTTho mirī duniyā ke ġharīboñ ko jagā do
kāḳh-e-umrā ke dar o dīvār hilā do
garmāo ġhulāmoñ kā lahū soz-e-yaqīñ se
kunjishk-e-faromāya ko shāhīñ se laḌā do
sulatāni-e-jamhūr kā aatā hai zamāna
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aa.e miTā do
jis khet se dahqāñ ko mayassar nahīñ rozī
us khet ke har ḳhosha-e-gandum ko jalā do
kyuuñ ḳhāliq o maḳhlūq meñ haa.il raheñ parde
pīrān-e-kalīsā ko kalīsā se uThā do
haq rā ba-sajūde sanamāñ rā ba-tavāfe
behtar hai charāġh-e-haram-o-dair bujhā do
maiñ nā-ḳhush o be-zār huuñ marmar kī siloñ se
mere liye miTTī kā haram aur banā do
tahzīb-e-navī kārgah-e-shīshagarāñ hai
ādāb-e-junūñ shā.ir-e-mashriq ko sikhā do