ai ahl-e-nazar zauq-e-nazar ḳhuub hai lekin
jo shai kī haqīqat ko na dekhe vo nazar kyaa!
maqsūd-e-hunar soz-e-hayāt-e-abadī hai
ye ek nafas yā do nafas misl-e-sharar kyaa!
jis se dil-e-dariyā mutalātim nahīñ hotā
ai qatra-e-naisāñ vo sadaf kyā vo guhar kyaa!
shā.er kī navā ho ki muġhannī kā nafas ho
jis se chaman afsurda ho vo bād-e-sahar kyaa!
be-mo.ajaza duniyā meñ ubhartīñ nahīñ qaumeñ
jo zarb-e-kalīmī nahīñ rakhtā vo hunar kyā