gol kamre ko sajātā huuñ tikonī ḳhvāhishoñ se
kaalī dīvāroñ pe
tere jism kī chaukor ḳhushbū Taañg dī hai
niilī chhat pe
dūdhiyā ḳhvāboñ ke jalte qumqume laTkā diye haiñ
khiḌkī ke shīshoñ pe
piilī ruuh ke sāyoñ ko chaspāñ kar diyā hai
nañge darvāze ko
andhī aarzū kā pairahan pahnā diyā hai
gūñge bistar par
na.ī tanhā.ī kī chādar bichhā kar
sone kī koshish karūñgā
derīna mahrūmiyoñ ke jañgaloñ meñ
khone kī koshish karūñgā