tū shanāsā-e-ḳharāsh-e-uqda-e-mushkil nahīñ
ai gul-e-rañgīñ tire pahlū meñ shāyad dil nahīñ
zeb-e-mahfil hai sharīk-e-shorish-e-mahfil nahīñ
ye farāġhat bazm-e-hastī meñ mujhe hāsil nahīñ
is chaman meñ maiñ sarāpā soz-o-sāz-e-ārzū
aur terī zindagānī be-gudāz-e-ārzū
toḌ lenā shāḳh se tujh ko mirā aa.iiñ nahīñ
ye nazar ġhair-az-nigāh-e-chashm-e-sūrat-bīñ nahīñ
aah ye dast-e-jafā jo ai gul-e-rañgīñ nahīñ
kis tarah tujh ko ye samjhā.ūñ ki maiñ gulchīñ nahīñ
kaam mujh ko dīda-e-hikmat ke uljheḌoñ se kyā
dīda-bulbul se meñ kartā huuñ nazzāra terā
sau zabānoñ par bhī ḳhāmoshī tujhe manzūr hai
raaz vo kyā hai tire siine meñ jo mastūr hai
merī sūrat tū bhī ik barg-e-riyāz-e-tūr hai
maiñ chaman se duur huuñ tū bhī chaman se duur hai
mutma.in hai tū pareshāñ misl-e-bū rahtā huuñ maiñ
zaḳhmī-e-shamshīr-e-zauq-e-justujū rahtā huuñ maiñ
ye pareshānī mirī sāmān-e-jam.īyat na ho
ye jigar-sozī charāġh-e-ḳhāna-e-hikmat na ho
nā-tavānī hī mirī sarmāya-e-quvvat na ho
rashk-e-jām-e-jam mirā ā.īna-e-hairat na ho
ye talāsh-e-muttasil sham-e-jahāñ-afroz hai
tausan-e-idrāk-e-insāñ ko ḳhirām-āmoz hai