raat dāḌhī ke añdhere se takalluf barte
arsh ke sāmne rusvā.ī kī gardan na uThe
izn-e-sajda pe kamar taḳhta na ho jaa.e kahīñ
khokhle lafzoñ meñ lohā to nahīñ bhar sakte
saikaḌoñ saal kī tablīġh ke chālīs samar
kashtī ban jaa.e to tannūr se paanī uble
sālhā-sāl se ārām natīja matlūb
tīn-sau-sāTh sanam ḳhāna-e-ka.aba se chale
reg-zāroñ meñ ġhubār aur khajūrī saa.e
uuñT kī aañkh meñ tash.hīr huā dard-e-safar
koī ‘hiñda’ se kahe daañt kahāñ haiñ tere
fat.h-e-makka se magar log hidāyat paa.eñ
ḳhuun jam jaa.e jo nālain meñ chalte chalte
arsh kī aañkh se rahmat kā samundar uble
jibra.īl apnī hai.at meñ haiñ numā.ish-manzar
paañv pātāl meñ sar charḳh se Takrā.e kahīñ
par jo khole to har ik samt pe parde laTkeñ
aur jaltā huā sūraj abhī kho jaa.e kahīñ
qāfila aayā hai ‘bū-bakr’ se mansūb magar
maal taqsīm huā dāman-e-hājat-mañdañ
nuur kañdhe pe uThā.e shab-e-hijrat ke safīr
ġhaar meñ saath rahe paas hī paivand hue
masjid-e-nabvī meñ ambār-e-ġhanīmat raushan
log rote hue nikle haiñ pareshāñ-manzar
raushnī pahuñchī ‘abū-jahl’ kī dīvāroñ tak
ghar kī tārīkī meñ rasta na bane bīnā.ī
peḌ ke saa.e kī pahchān yahūdī rāhib
ruk gayā āb-e-ravāñ beva ke darvāze par
dast-e-zohrā meñ nishānāt ayaañ chakkī se
ilm ke baab ‘alī’ umr meñ sab se chhoTe
chāñd kā naam tire chāk-garebānoñ meñ
mubtadī DhūñDte haiñ masjid-e-aqsā meñ imaam
sidrat-ul-muntahā jibrīl ijāzat māñge
kaun thā kis ne pukārā ki chale bhī aao
kaun maujūd thā pahle se vahāñ kaun gayā
kaun suntā thā vahāñ kis ne pukārā kis ko
kis kī āvāz kī tanvīr se aalim chamke
sar-bulandī thī muqaddar meñ qalam se pahle
bakriyāñ kaun ‘halīma’ kī charāne jaa.e
‘āmina’ batn se iz.hār hai aadam kā uruuj
mujtam.a kis ne kiyā logoñ ko parbat ke qarīb
kis ne lalkārā zalālat ko musalsal tanhā
jau kī roTī kabhī mil jaa.e kabhī fāqa-kashī
bhuuk se peT pe patthar kabhī bāñdhe kis ne
tīn-sau-terah kī ta.adād hai kis gintī meñ
fikr pe dā.era-kun ḳhandaqeñ khodī jaa.eñ
duur kī dhuup meñ hai faisla-kun rah-e-tabūk
‘hañzala’ sāmne aa jaa.eñ jo chhaT jaa.e ġhubār
maiñ ne pahuñchā diyā tum tak jo mujhe pahuñchā thā
maiñ ne pahuñchā diyā tum tak jo mujhe pahuñchā thā
maiñ ne pahuñchā diyā tum tak jo mujhe pahuñchā thā
koī pardesī hai ḳheme pe pareshāñ-surat
aur ‘fārūq’ chale biivī ko ham-rāh liye
fāsle toḌ kar āvāz ke saa.e phaile
hākim-e-vaqt kā kurtā ka.ī paivand lagā
bakriyāñ jis se sambhālī nahīñ jātīñ thiiñ kabhī
nisf duniyā pe ḳhilāfat ke alam lahrā.e
yaad hai sāhibo ḳhaibar ko ukhāḌā kis ne
kis kī talvār thī ā.īna zamāne ke liye
kis ne zarḳhez shujā.at ke sitāre bo.e
jaan dī jāvedāñ lamhāt tilāvat mashġhūl
ḳhuun ke dhabbe haiñ qur.ān pe tābinda nazar
kaun rotā thā musalle pe hamārī ḳhātir
pair varma ga.e kis ke shab-e-sajda-o-qiyām
do mahīnoñ meñ makānoñ se dhuāñ tak na uThe
fikr-e-ummat ki har ik lamha lahū meñ karvaT
jism raushan thā chaTā.ī ke nishāñ bhī raushan
gāliyāñ khāte phireñ makka ke bāzāroñ meñ
aur tanhā kabhī taa.ef se nikāle jaa.eñ
marhabā shukr kā Thahrāo bahishtī zevar
marhabā sabr kā irfān ki merāj-e-hayāt
nuur majsūm huā gumbad-e-ḳhazrā markūz
hashr kī sub.h daraḳhshāñ ho maqām-e-mahmūd
haath raushan rahe kausar se qarābat manzar
ḳhuun ab sard huā jaatā hai shiryānoñ meñ
aur baḌhtī huī ta.adād bharosā toḌe
nafs dauḌātā hai phir jānib-e-shahvat ghoḌe
lazzat-e-shai meñ haiñ ma.adūm charāġhoñ kī laveñ
raushnī apne paḌosī ko bhī pahuñchā na sake
ruuh ab sho.alagī māñge hai har ik zarre se
koī ilyās kī bātoñ pe zarā kaan dhare
koī yūsuf se shahādat ke ma.ānī pūchhe
koī taqsīm kare vaqt ko masjid masjid
koī bai.at to kare dast-e-zakariyā hāzir
markaz-e-ishq pe pahuñcho to ho in.ām-e-nazar
ek ik lamha ke chehre se ayaañ izn-e-safar
gumrahī qil.oñ meñ mahfūz rahegī kab tak
sar uThā.egī havā bādbāñ khul jā.eñge
band darvāzoñ pe dastak kī sadā gūñjegī
dhuup dahlīz pe pahuñchā.egī mehmānoñ ko
sā.ebāñ sar pe abābīl liye saath chale
talḳh tahzīb ke sahrā meñ azaañ lahrā.e
guuñj uTThegā haram nara-e-labbaik, zamīñ
tere qadmoñ meñ ugal degī ḳhazāne apne
terī taqlīd meñ maġhrib kī baqā poshīda
terī tazlīl meñ jo haath uThe kaT jaa.e
terī nusrat ke liye āsmāñ koshish maqsūd
silsile tere baneñ zeb-e-jahān-e-fānī
nuur majsūm huā gumbad-e-ḳhazra markūz
hashr kī sub.h daraḳhshāñ ho maqām-e-mahmūd