jahāñ meñ dānish o bīnish kī hai kis darja arzānī
koī shai chhup nahīñ saktī ki ye aalam hai nūrānī
koī dekhe to hai bārīk fitrat kā hijāb itnā
numāyāñ haiñ farishtoñ ke tabassum-hā-e-pinhānī
ye duniyā dāvat-e-dīdār hai farzand-e-ādam ko
ki har mastūr ko baḳhshā gayā hai zauq-e-uryānī
yahī farzand-e-ādam hai ki jis ke ashk-e-ḳhūnīñ se
kiyā hai hazrat-e-yazdāñ ne dariyāoñ ko tūfānī
falak ko kyā ḳhabar ye ḳhāk-dāñ kis kā nasheman hai
ġharaz anjum se hai kis ke shabistāñ kī nigahbānī
agar maqsūd-e-kul maiñ huuñ to mujh se māvarā kyā hai
mire hañgāma-hā-e-nau-ba-nau kī intihā kyā hai