ai himāla ai fasīl-e-kishvar-e-hindustān
chūmtā hai terī peshānī ko jhuk kar āsmāñ
tujh meñ kuchh paidā nahīñ derīna rozī ke nishāñ
tū javāñ hai gardish-e-shām-o-sahar ke darmiyāñ
ek jalva thā kalīm-e-tūr-e-sīnā ke liye
tū tajallī hai sarāpā chashm-e-bīnā ke liye
imtihān-e-dīda-e-zāhir meñ kohistāñ hai tū
pāsbāñ apnā hai tū dīvār-e-hindustāñ hai tū
matla-e-avval falak jis kā ho vo dīvāñ hai tū
sū-e-ḳhalvat-gāh-e-dil dāman-kash-e-insāñ hai tū
barf ne bāñdhī hai dastār-e-fazīlat tere sar
ḳhanda-zan hai jo kulāh-e-mehr-e-ālam-tāb par
terī umr-e-rafta kī ik aan hai ahd-e-kuhan
vādiyoñ meñ haiñ tirī kaalī ghaTā.eñ ḳhema-zan
choTiyāñ terī surayyā se haiñ sargarm-e-suḳhan
tū zamīñ par aur pahnā-e-falak terā vatan
chashma-e-dāman tirā ā.īna-e-sayyāl hai
dāman-e-mauj-e-havā jis ke liye rūmāl hai
abr ke hāthoñ meñ rahvār-e-havā ke vāste
tāziyāna de diyā barq-e-sar-e-kohsār ne
ai himāla koī bāzī-gāh hai tū bhī jise
dast-e-qudrat ne banāyā hai anāsir ke liye
haa.e kyā fart-e-tarab meñ jhūmtā jaatā hai abr
fīl-e-be-zanjīr kī sūrat uḌā jaatā hai abr
jumbish-e-mauj-e-nasīm-e-sub.h gahvāra banī
jhūmtī hai nashsha-e-hastī meñ har gul kī kalī
yuuñ zabān-e-barg se goyā hai us kī ḳhāmushī
dast-e-gul-chīñ kī jhaTak maiñ ne nahīñ dekhī kabhī
kah rahī hai merī ḳhāmoshī hī afsāna mirā
kunj-e-ḳhalvat ḳhāna-e-qudrat hai kāshāna mirā
aatī hai naddī farāz-e-koh se gaatī huī
kausar o tasnīm kī maujoñ ko sharmātī huī
ā.īna sā shāhid-e-qudrat ko dikhlātī huī
sañg-e-rah se gaah bachtī gaah Takrātī huī
chheḌtī jā is irāq-e-dil-nashīñ ke saaz ko
ai musāfir dil samajhtā hai tirī āvāz ko
laila-e-shab kholtī hai aa ke jab zulf-e-rasā
dāman-e-dil khīñchtī hai ābshāroñ kī sadā
vo ḳhamoshī shaam kī jis par takallum ho fidā
vo daraḳhtoñ par tafakkur kā samāñ chhāyā huā
kāñptā phirtā hai kyā rañg-e-shafaq kohsār par
ḳhush-numā lagtā hai ye ġhāza tire ruḳhsār par
ai himāla dāstāñ us vaqt kī koī sunā
maskan-e-ābā-e-insāñ jab banā dāman tirā
kuchh batā us sīdhī-sādhī zindagī kā mājrā
daaġh jis par ġhāza-e-rañg-e-taklluf kā na thā
haañ dikhā de ai tasavvur phir vo sub.h o shaam tū
dauḌ pīchhe kī taraf ai gardish-e-ayyām tū