chishtī ne jis zamīñ meñ paiġhām-e-haq sunāyā
nānak ne jis chaman meñ vahdat kā giit gaayā
tātāriyoñ ne jis ko apnā vatan banāyā
jis ne hijāziyoñ se dasht-e-arab chhuḌāyā
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai
yunāniyoñ ko jis ne hairān kar diyā thā
saare jahāñ ko jis ne ilm o hunar diyā thā
miTTī ko jis kī haq ne zar kā asar diyā thā
turkoñ kā jis ne dāman hīroñ se bhar diyā thā
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai
TuuTe the jo sitāre fāras ke āsmāñ se
phir taab de ke jis ne chamkā.e kahkashāñ se
vahdat kī lai sunī thī duniyā ne jis makāñ se
mīr-e-arab ko aa.ī ThanDī havā jahāñ se
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai
bande kalīm jis ke parbat jahāñ ke siinā
nūh-e-nabī kā aa kar Thahrā jahāñ safīnā
rif.at hai jis zamīñ kī bām-e-falak kā ziinā
jannat kī zindagī hai jis kī fazā meñ jiinā
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai