ibn-e-mariyam huā kare koī
mere dukh kī davā kare koī
Let anyone the son of mary be
How will I know till I find remedy
shar.a o aa.iin par madār sahī
aise qātil kā kyā kare koī
When sanctioned by laws of divinity
For such a killer what can one decree?
chaal jaise kaḌī kamān kā tiir
dil meñ aise ke jā kare koī
Like an arrow drawn her graceful gait
In this heart embedded directly
baat par vaañ zabān kaTtī hai
vo kaheñ aur sunā kare koī
My every word she contradicts alas
If I could, but, speak and she agree
bak rahā huuñ junūñ meñ kyā kyā kuchh
kuchh na samjhe ḳhudā kare koī
Lord I pray that no one comprehends
All that I rant and rave in ecstasy
na suno gar burā kahe koī
na kaho gar burā kare koī
If someone speaks ill pay no heed
Stay silent if behave they sinfully
rok lo gar ġhalat chale koī
baḳhsh do gar ḳhatā kare koī
Stop them if they step misguidedly
Forgive them if they act mistakenly
kaun hai jo nahīñ hai hājat-mand
kis kī hājat ravā kare koī
Is there anyone who’s not in need?
Then to whom does one do charity?
kyā kiyā ḳhizr ne sikandar se
ab kise rahnumā kare koī
What did Khizr for Alexander do?
For guidance then who shall I go and see?
jab tavaqqo.a hī uTh ga.ī ‘ġhālib’
kyuuñ kisī kā gila kare koī
When no expectations remain
why complain of adversity?