jibra.īl
hamdam-e-dairīna kaisā hai jahān-e-rañg-o-bū
iblīs
soz-o-sāz o dard o daaġh o justujū o aarzū
jibra.īl
har ghaḌī aflāk par rahtī hai terī guftugū
kyā nahīñ mumkin ki terā chaak dāman ho rafū
iblīs
aah ai jibrīl tū vāqif nahīñ is raaz se
kar gayā sarmast mujh ko TuuT kar merā subū
ab yahāñ merī guzar mumkin nahīñ mumkin nahīñ
kis qadar ḳhāmosh hai ye ālam-e-be-Kāḳh-o-kū
jis kī naumīdī se ho soz-e-darūn-e-kā.enāt
us ke haq meñ taqnatū achchhā hai yā lā-taqnatū
jibra.īl
kho diye inkār se tū ne maqāmāt-e-buland
chashm-e-yazdāñ meñ farishtoñ kī rahī kyā aabrū
iblīs
hai mirī jur.at se musht-e-ḳhāk meñ zauq-e-numū
mere fitne jāma-e-aql-o-ḳhirad kā tār-o-pū
dekhtā hai tū faqat sāhil se razm-e-ḳhair-o-shar
kaun tūfāñ ke tamāñche khā rahā hai maiñ ki tū
ḳhizr bhī be-dast-o-pā ilyās bhī be-dast-o-pā
mere tūfāñ yam-ba-yam dariyā-ba-dariyā jū-ba-jū
gar kabhī ḳhalvat mayassar ho to pūchh allāh se
qissa-e-ādam ko rañgīñ kar gayā kis kā lahū
maiñ khaTaktā huuñ dil-e-yazdāñ meñ kāñTe kī tarah
tū faqat allāh-hū allāh-hū allāh-hū