kali diwar

Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn

kal washington shahr kī ham ne sair bahut kī yaar

guuñj rahī thī sab duniyā meñ jis kī jai-jai-kār

mulkoñ mulkoñ ham ghūme the banjāroñ kī misl

lekin is kī saj-dhaj sach-much dil-dāroñ kī misl

raushniyoñ ke rañg baheñ yuuñ rasta nazar na aa.e

man kī āñkhoñ vaalā bhī yaañ andhā ho ho jaa.e

ūñche baam charāġhāñ raste rūp-bhare bāzār

jāgtī āñkhoñ se dekhā hai ḳhvāboñ kā sansār

ek safed imārat jis kī nagar nagar meñ dhuum

andar duniyā bhar kī kālak bāhar se ma.asūm

yahī safed imārat jis meñ bahut baḌī sarkār

yahīñ kareñ saudāgar chhoTī qaumoñ kā bevpār

yahīñ pe jādū-gar baiThā jab kahīñ kī Dor hilā.e

har bastī nagasaki hiroshima ban jaa.e

isī imārat se kuchh duur hī ik kaalī dīvār

logoñ kā mela aisā lagā thā jaise koī tyauhār

is kaalī dīvār pe kanda dekhe hazāroñ naam

un nāmoñ ke biich likhā thā shohdā-e-vietnam

ās-pās to jam.a huā thā ḳhilqat kā amboh

sab kī āñkhoñ meñ sannāTā chehroñ par andoh

bekal bahneñ ghāyal maa.eñ aur dukhī bevāyeñ

sājan tum kis des sidhāre socheñ mahbūbā.eñ

apne pyāroñ dil-dāroñ kā ojhal mukhḌā DhūñDeñ

is kaalī dīvār pe un ke naam kā TukḌā DhūñDeñ

diloñ meñ dukh āñkhoñ meñ shabnam hāthoñ meñ phuul uThā.e

is nāmoñ ke qabristān kā bhed koī kyā paa.e

nā turbat nā katba koī nā haDDī nā maas

phir bhī pāgal naināñ ko thī piyā milan kī aas

kahīñ kahīñ is kaalī sil par koī safed gulāb

yuuñ be-tāb paḌā thā jaise andhī aañkh kā ḳhvāb

kāñTā ban kar sabhī ke dil meñ khaTke ek savāl

kis kāran miTTī meñ milā.e hīroñ jaise laal

Ho-chi-minh ke des meñ ham ne kyā kyā sitam na Dhaa.e

us ke jiyāle to āzādī kā sūraj le aa.e

lekin itne chāñd gañvā kar ham ne bhalā kyā paayā

ham bad-qismat aise jin ko dhuup milī nā saayā

mukh motī de kar hāsil kī ye kaalī dīvār

ye kaalī dīvār jo hai bas ik ḳhālī dīvār

ye kaalī dīvār jo hai nāmoñ kā qabristān

washington ke shahr meñ dafn haiñ kis kis ke armān

Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā

%d bloggers like this: