huzūr aap aur nisf shab mire makān par
huzūr kī tamām-tar balā.eñ merī jaan par
huzūr ḳhairiyat to hai huzūr kyuuñ ḳhamosh haiñ
huzūr boliye ki vasvase vabāl-e-hosh haiñ
huzūr hoñT is tarah se kapkapā rahe haiñ kyuuñ
huzūr aap har qadam pe laḌ-khḌā rahe haiñ kyuuñ
huzūr aap kī nazar meñ niiñd kā ḳhumār hai
huzūr shāyad aaj dushmanoñ ko kuchh buḳhār hai
huzūr muskurā rahe haiñ merī baat baat par
huzūr ko na jaane kyā gumāñ hai merī zaat par
huzūr muñh se ba rahī hai piik saaf kījiye
huzūr aap to nashe meñ haiñ muaaf kījiye
huzūr kyā kahā maiñ aap ko bahut aziiz huuñ
huzūr kā karam hai varna maiñ bhī koī chiiz huuñ
huzūr chhoḌiye hameñ hazār aur rog haiñ
huzūr jā.iye ki ham bahut ġharīb log haiñ