itnī muddat dil-e-āvāra kahāñ thā ki tujhe
apne hī ghar ke dar-o-bām bhulā baiThe haiñ
yaad yāroñ ne to kab harf-e-mohabbat rakkhā
ġhair bhī ta.ana o dushnām bhulā baiThe haiñ
to samajhtā thā ki ye dar-badarī kā aalam
duur desoñ kī ināyat thā so ab ḳhatm huā
tū ne jaanā thā ki āshufta-sarī kā mausam
dasht-e-ġhurbat kī vadī.at thā so ab ḳhatm huā
ab jo tū shahr-e-nigārāñ meñ qadam rakkhegā
har taraf khilte chale jā.eñge chehroñ ke gulāb
dost-ahbāb tire naam ke Takrā.eñge jaam
ġhair-aġhyār chukā.eñge raqābat ke hisāb
jab bhī gā.egī koī ġhairat-e-nāhīd ġhazal
sab ko aa.egā nazar sho.ala-e-āvāz meñ tū
jab bhī saaqī ne surāhī ko diyā izn-e-ḳhirām
bazm kī bazm pukāregī ki āġhāz meñ tū
maa.eñ rakkheñgī tire naam pe aulād kā naam
baap beToñ ke liye terī bayāzeñ leñge
jin pe qadġhan hai vo ash.ār paḌhegī ḳhilqat
aur TuuTe hue dil tujh ko salāmī deñge
log ulfat ke khilaune liye bachchoñ kī tarah
kal ke rūThe hue yāroñ ko manā lā.eñge
lafz ko bechne vaale na.e bāzāroñ meñ
ġhairat harf ko laate hue sharmā.eñge
lekin aisā nahīñ aisā nahīñ ai dil ai dil
ye tirā des ye tere dar-o-dīvār nahīñ
itne yūsuf to na the misr ke bāzār meñ bhī
jins is darja hai vāfir ki ḳharīdār nahīñ
sar kisī kā bhī dikhā.ī nahīñ detā hai yahāñ
jism hī jism haiñ dastāreñ hī dastāreñ haiñ
tū kisī qarya-e-zindāñ meñ hai shāyad ki jahāñ
tauq hī tauq haiñ dīvāreñ hī dīvāreñ haiñ
ab na tiflāñ ko ḳhabar hai kisī dīvāne kī
aur na āvāz ki ”o chaak garebāñ vāle”
na kisī haath meñ patthar na kisī haath meñ phuul
kar ga.e kuuch kahāñ kūcha-e-jānāñ vaale