khiḌkī andhī ho chukī hai
dhuul kī chādar meñ apnā muñh chhupā.e
kaalī saḌkeñ so chukī haiñ
dhuup kī nañgī chuḌeloñ ke sulagte qahqahoñ se
jā-ba-jā peḌoñ ke saa.e jal rahe haiñ
mez par gul-dān meñ hañste hue phūloñ se
mīThe lams kī ḳhushbū kā jharnā bah rahā hai
ek saaya ā.īñe ke kaan meñ kuchh kah rahā hai
ahd-e-rafta kī gilahrī
ḳhūb-sūrat dum uThā.e
roTī ke TukḌe ko dāñtoñ meñ dabā.e bhāgtī hai
ek makḌī
maġhribī kone meñ jaalā bun rahī hai
shahr ḳhālī ho rahā hai
kyā tum apnī zindagī se mutma.in ho?
haañ… nahīñ huuñ
ḳhair jaane do… suno
masjid kā vo būḌhā mo.azzin
ḳhair kī jānib bulātā hai tumheñ
apnā ġham kis se kaheñ