shā.ir
sāhil-e-dariyā pe maiñ ik raat thā mahv-e-nazar
gosha-e-dil meñ chhupā.e ik jahān-e-iztirāb
shab sukūt-afzā havā āsūda dariyā narm sair
thī nazar hairāñ ki ye dariyā hai yā tasvīr-e-āb
jaise gahvāre meñ so jaatā hai tifl-e-shīr-ḳhvār
mauj-e-muztar thī kahīñ gahrā.iyoñ meñ mast-e-ḳhvāb
raat ke afsūñ se taa.ir āshiyānoñ meñ asiir
anjum-e-kam-zau giraftār-e-tilism-e-māhtāb
dekhtā kyā huuñ ki vo paik-e-jahāñ-paimā ḳhizr
jis kī piirī meñ hai mānind-e-sahar rañg-e-shabāb
kah rahā hai mujh se ai jūyā-e-asrār-e-azal
chashm-e-dil vā ho to hai taqdīr-e-ālam be-hijāb
dil meñ ye sun kar bapā hañgāma-e-mahshar huā
maiñ shahīd-e-justujū thā yuuñ suḳhan-gustar huā
ai tirī chashm-e-jahāñ-bīñ par vo tūfāñ āshkār
jin ke hañgāme abhī dariyā meñ sote haiñ ḳhamosh
kashtī-e-miskīn-o-jān-e-pāk-o-dīvār-e-yatīm
ilm-e-mūsā bhī hai tire sāmne hairat-farosh
chhoḌ kar ābādiyāñ rahtā hai tū sahrā-navard
zindagī terī hai be-roz-o-shab-o-fardā-o-dosh
zindagī kā raaz kyā hai saltanat kyā chiiz hai
aur ye sarmāya-o-mehnat meñ hai kaisā ḳharosh
ho rahā hai asia kā ḳhirqa-e-derīna chaak
naujavāñ aqvām-e-nau-daulat ke haiñ pairāya-posh
garche askandar rahā mahrūm-e-āb-e-zindagī
fitrat-e-askandarī ab tak hai garm nāo-nosh
bechtā hai hāshmī nāmūs dīn-e-mustafā
ḳhāk-o-ḳhūñ meñ mil rahā hai turkamān-e-shaḳht-kosh
aag hai aulād-e-ibrāhīm hai namrūd hai
kyā kisī ko phir kisī kā imtihāñ maqsūd hai
javāb-e-ḳhizr
sahrā-navardī
kyuuñ ta.ajjub hai mirī sahrā-navardī par tujhe
ye tagā-pū-e-damādam zindagī kī hai dalīl
ai rahīn-e-ḳhāna tū ne vo samāñ dekhā nahīñ
gūñjtī hai jab fazā-e-dasht meñ bāñg-e-rahīl
ret ke Tiile pe vo aahū kā be-parvā ḳhirām
vo hazar be-barg-o-sāmāñ vo safar be-sañg-o-mīl
vo numūd-e-aḳhtar-e-sīmāb-pā hañgām-e-sub.h
yā numāyāñ bām-e-gardūñ se jabīn-e-jibra.īl
vo sukūt-e-shām-e-sahrā meñ ġhurūb-e-āftāb
jas se raushan-tar huī chashm-e-jahāñ-bīn-e-ḳhalīl
aur vo paanī ke chashme par maqām-e-kārvāñ
ahl-e-īmāñ jas tarah jannat meñ gird-e-salsabīl
taaza vīrāne kī saudā-e-mohabbat ko talāsh
aur ābādī meñ tū zanjīrī-e-kisht-o-naḳhīl
puḳhta-tar hai gardish-e-paiham se jām-e-zindagī
hai yahī ai be-ḳhabar rāz-e-davām-e-zindagī
zindagī bartar az sūd-o-ziyāñ hai zindagī
zindagī bartar az andesha-e-sūd-o-ziyāñ hai zindagī
hai kabhī jaañ aur kabhī taslīm-e-jāñ hai zindagī
tū ise paimāna-e-imroz-o-fardā se na naap
jāvedāñ paiham davāñ har-dam javāñ hai zindagī
apnī duniyā aap paidā kar agar zindoñ meñ hai
sirr-e-ādam hai zamīr-e-kun-fakāñ hai zindagī
zindagānī kī haqīqat kohkan kai dil se pūchh
jū-e-shīr-o-tesha-o-sañg-e-garāñ hai zindagī
bandagī meñ ghaT ke rah jaatī hai ik jū-e-kam-āb
aur āzādī meñ bahr-e-be-karāñ hai zindagī
āshkārā hai ye apnī quvvat-e-tasḳhīr se
garche ik miTTī ke paikar meñ nihāñ hai zindagī
qulzum-e-hastī se to ubhrā hai mānind-e-habāb
is ziyāñ-ḳhāne meñ terā imtihāñ hai zindagī
ḳhaam hai jab tak tū hai miTTī kā ik ambār tū
puḳhta ho jaa.e tū hai shamsher-e-be-zinhār tū
ho sadāqat ke liye jis dil meñ marne kī taḌap
pahle apne paikar-e-ḳhākī meñ jaañ paidā kare
phūñk Daale ye zamīn-o-āsmāñ musta.ār
aur ḳhākistar se aap apnā jahāñ paidā kare
zindagī kī quvvat-e-pinhāñ ko kar de āshkār
tā ye chiñgārī froġh-e-jāvedāñ paidā kare
ḳhāk-e-mashriq par chamak jaa.e misāl-e-āftāb
tā-badaḳhshāñ phir vahī la.al-e-girāñ paidā kare
sū-e-gardūñ nāla-e-shab-gīr kā bheje safīr
raat ke tāroñ meñ apne rāz-dāñ paidā kare
ye ghaḌī mahshar kī hai to arsa-e-mehshar meñ hai
pesh kar ġhāfil amal koī agar daftar meñ hai
saltanat
aa batā.ūñ tujh ko ramz-e-āya-e-innal-mulūk
saltanat aqvām-e-ġhālib kī hai ik jādūgarī
ḳhvāb se be-dār hotā hai zarā mahkūm agar
phir sulā detī hai us ko hukmarāñ kī sāhirī
jādū-e-mahmūd kī tāsīr se chashm-e-ayāz
dekhtī hai halqa-e-gardan meñ sāz-e-dil-barī
ḳhūn-e-isrā.īl aa jaatā hai āḳhir josh meñ
toḌ detā hai koī muusā tilism-e-sāmarī
sarvarī zebā faqat us zāt-e-be-hamtā ko hai
hukmarāñ hai ik vahī baaqī butān-e-āzarī
az ġhulāmī fitrat-e-āzād rā rusvā makun
tā-tarāshī ḳhvāja-e-az-barahman kāfir tirī
hai vahī sāz-e-kuhan maġhrib kā jamhūrī nizām
jis ke pardoñ meñ nahīñ ġhair-az-navā-e-qaisarī
dev-e-istibdād jamhūrī qabā meñ pā-e-kūb
tū samajhtā hai ye āzādī kī hai nīlam-parī
majlis-e-ā.īn-o-islāh-o-ri.āyāt-o-huqūq
tibb-e-maġhrib meñ maze mīThe asar ḳhvāb-āvarī
garmī-e-guftār āzā-e-majālis al-amāñ
ye bhī ik sarmāya-dāroñ kī hai jañg-e-zargarī
is sarāb-e-rañg-o-bū ko gulistāñ samjhā hai tū
aah ai nādāñ qafas ko āshiyāñ samjhā hai tū
sarmāya-o-mehnat
banda-e-mazdūr ko jā kar mirā paiġhām de
ḳhizr kā paiġhām kyā hai ye payām-e-kā.enāt
ai ki tujh ko khā gayā sarmāya-dār-e-hīla-gar
shāḳh-e-āhū par rahī sadiyoñ talak terī barāt
dast-e-daulat-āfrīñ ko muzd yuuñ miltī rahī
ahl-e-sarvat jaise dete haiñ ġharīboñ ko zakāt
sāhir-al-mūt ne tujh ko diyā barg-e-hashīsh
aur tū ai be-ḳhabar samjhā use shāḳh-e-nabāt
nasl qaumiyat kalīsā saltanat tahzīb rañg
ḳhvājgī ne ḳhuub chun chun ke banā.e muskirāt
kaT marā nādāñ ḳhayālī devtāoñ ke liye
sukr kī lazzat meñ tū luTvā gayā naqd-e-hayāt
makr kī chāloñ se baazī le gayā sarmāya-dār
intihā-e-sādgī se khā gayā mazdūr maat
uTh ki ab bazm-e-jahāñ kā aur hī andāz hai
mashriq-o-maġhrib meñ tere daur kā āġhāz hai
himmat-e-ālī to dariyā bhī nahīñ kartī qubūl
ġhuncha saañ ġhāfil tire dāman meñ shabnam kab talak
naġhma-e-bedārī-e-jamhūr hai sāmān-e-aish
qissa-e-ḳhvāb-āvar askandar-o-jam kab talak
āftāb-e-tāza paidā batn-e-gītī se huā
āsmān Duube hue tāroñ kā mātam kab talak
toḌ Dālīñ fitrat-e-insāñ ne zanjīreñ tamām
dūrī-e-jannat se rotī chashm-e-ādam kab talak
bāġhbān-e-chāra-farmā se ye kahtī hai bahār
zaḳhm-e-gul ke vāste tadbīr-e-marham kab talak
kirmak-e-nādāñ tavāf-e-sham.a se āzād ho
apnī fitrat ke tajallī-zār meñ ābād ho
duniyā-e-islām
kyā sunātā hai mujhe turk-o-arab kī dāstāñ
mujh se kuchh pinhāñ nahīñ islāmiyoñ kā soz-o-sāz
le ga.e taslīs ke farzand mīrās-e-ḳhalīl
ḳhisht-e-buniyād-e-kalīsā ban ga.ī ḳhāk-e-hijāz
ho ga.ī rusvā zamāne meñ kulāh-e-lāla-rañg
jo sarāpā naaz the haiñ aaj majbūr-e-niyāz
le rahā hai mai-faroshān-e-farañgistān se paars
vo mai-e-sarkash harārat jis kī hai mīnā-gudāz
hikmat-e-maġhrib se millat kī ye kaifiyyat huī
TukḌe TukḌe jis tarah sone ko kar detā hai gaaz
ho gayā mānind-e-āb arzāñ musalmāñ kā lahū
muztarib hai tū ki terā dil nahīñ dānā-e-rāz
guft ruumī har banā-e-kuhanā ki-ābādāñ kunand
mī na-dānī avval aañ buniyād rā vīrāñ kunand
mulk hāthoñ se gayā millat kī āñkheñ khul ga.iiñ
haq tirā chashme atā kar dast-e-ġhāfil dar nigar
momyā.ī kī gadā.ī se to behtar hai shikast
mor-e-be-par hājate pesh-e-sulaimāne mabar
rabt-o-zabt-e-millat-e-baizā hai mashriq kī najāt
asia vaale haiñ is nukte se ab tak be-ḳhabar
phir siyāsat chhoḌ kar dāḳhil hisār-e-dīñ meñ ho
mulk-o-daulat hai faqat hifz-e-haram kā ik samar
ek huuñ muslim haram kī pāsbānī ke liye
niil ke sāhil se le kar tā-ba-ḳhāk-e-kāshġhar
jo karegā imtiyāz-e-rañg-o-ḳhūñ miT jā.egā
turk-e-ḳhargāhī ho yā ārābī-e-vālā-guhar
nasl agar muslim kī maz.hab par muqaddam ho ga.ī
uḌ gayā duniyā se tū mānind-e-ḳhāk-e-rāh-guzar
tā-ḳhilāfat kī binā duniyā meñ ho phir ustuvār
lā kahīñ se DhūñD kar aslāf kā qalb-o-jigar
ai ki na-shināsī ḳhafī rā az jalī hushiyār baash
ai giraftār-e-abū-bakr-o-alī hushiyār-bāsh
ishq ko fariyād lāzim thī so vo bhī ho chukī
ab zarā dil thaam kar fariyād kī tāsīr dekh
tū ne dekhā satvat-e-raftār-e-dariyā kā uruuj
mauj-e-muztar kis tarah bantī hai ab zanjīr dekh
aam hurriyat kā jo dekhā thā ḳhvāb islām ne
ai musalmāñ aaj to us ḳhvāb kī tābīr dekh
apnī ḳhākistar samundar ko hai sāmān-e-vajūd
mar ke phir hotā hai paidā ye jahān-e-pīr dekh
khol kar āñkheñ mire ā.īna-e-guftār meñ
aane vaale daur kī dhundlī sī ik tasvīr dekh
āzmūda fitna hai ik aur bhī gardūñ ke paas
sāmne taqdīr ke rusvā.ī-e-tadbīr dekh
muslim astī siina rā az ārzū-ābād daar
har zamāñ pesh-e-nazar lā-yuḳhlif-ul-mī.ād daar