lafz kī chhāñv meñ
niim kī pattiyoñ kā safar talḳh sā
sīlnī jism meñ ruuh bechain bhī
shahriyat ke taqāze jo TuuTe kabhī
zindagī ke amal meñ bhī shak aa paḌā
TuuT kar kis tarah juḌ ga.ī chāndnī
dhuup lamhoñ ke chehroñ se girtī huī ḳhaak meñ jā milī
sar jhukā.e hue kaun saḌkoñ pe yuuñ tujh ko DhūñDā kare
ham-kalāmī kī izzat kā bādal sadā sar pe saaya fagan
jab terī ḳhāmushī ke ma.ānī ke hoñToñ se Tapke hue
duudh ke chand qatre samundar bane
bādbānoñ ke āġhosh khole hue kashtiyāñ chal paḌīñ
tishnagī ke jazīroñ pe saaya kahāñ
sub.h kā mom pighlā to ḳhvāboñ ke dil bujh ga.e
bujh ga.ī raat bhī
bujh ga.ī lafz ke haath kī baat bhī
lafz maidān meñ sar-nigūñ rah ga.e
sañgsārī kī lazzat lahū ban ga.ī
kaun poshīda jazboñ kī chilman bane
lafz kī chhāñv meñ koī sūraj Dhale