lahū ko surḳh gulāboñ meñ band rahne do
shikasta ḳhvāb ke shīshoñ pe us kā aks paḌe
siyāh miTTī ke nīche safed baal jale
kisī ke daañt mirī uñgliyāñ chabā jaa.eñ
ḳhalā ke ziine se parchhā.iyāñ utarne lageñ
har ek lamhe ke chehre pe dhuup marne lage
udaas vaqt ke kañdhe pe haath rakh ke chalūñ
buzurg baap ke chehre kī jhurriyāñ chūmūñ
ḳhamosh haiñ dar-o-dīvār khiḌkiyāñ chup haiñ
galī ke moḌ pe ruk jaa.e raat kā saaya
mujhe na roko mujhe merī maañ se milne do
ye mere bhaa.ī ye bahneñ ye hāmila biivī
lahū ko surḳh gulāboñ meñ band rahne do