ai anfus o āfāq meñ paidā tirī āyāt
haq ye hai ki hai zinda o pā.inda tirī zaat
maiñ kaise samajhtā ki tū hai yā ki nahīñ hai
har dam mutaġhayyar the ḳhirad ke nazriyāt
mahram nahīñ fitrat ke surūd-e-azlī se
bīnā-e-kavākib ho ki dānā-e-nabātāt
aaj aañkh ne dekhā to vo aalam huā sābit
maiñ jis ko samajhtā thā kalīsā ke ḳhurāfāt
ham band-e-shab-o-roz meñ jakḌe hue bande
tū ḳhāliq-e-āsār-o-nigāranda-e-ānāt
ik baat agar mujh ko ijāzat ho to pūchhūñ
hal kar na sake jis ko hakīmoñ ke maqālāt
jab tak maiñ jiyā ḳhema-e-aflāk ke nīche
kāñTe kī tarah dil meñ khaTaktī rahī ye baat
guftār ke uslūb pe qaabū nahīñ rahtā
jab ruuh ke andar mutalātum hoñ ḳhayālāt
vo kaun sā aadam hai ki tū jis kā hai mābūd
vo ādam-e-ḳhākī ki jo hai zer-e-samāvāt
mashriq ke ḳhudāvand safedān-e-firañgī
maġhrib ke ḳhudāvand daraḳhshinda filizzāt
europe meñ bahut raushni-e-ilm-o-hunar hai
haq ye hai ki be-chashma-e-haivāñ hai ye zulmāt
rāñā.i-e-tāmīr meñ raunaq meñ safā meñ
girjoñ se kahīñ baḌh ke haiñ bankoñ kī imārāt
zāhir meñ tijārat hai haqīqat meñ juā hai
suud ek kā lākhoñ ke liye marg-e-mufājāt
ye ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukūmat
piite haiñ lahū dete haiñ tālīm-e-musāvāt
bekārī o uryānī o mai-ḳhvārī o aflās
kyā kam haiñ farañgī madniyat kī futūhāt
vo qaum ki faizān-e-samāvī se ho mahrūm
had us ke kamālāt kī hai barq o buḳhārāt
hai dil ke liye maut mashīnoñ kī hukūmat
ehsās-e-muravvat ko kuchal dete haiñ ālāt
āsār to kuchh kuchh nazar aate haiñ ki āḳhir
tadbīr ko taqdīr ke shātir ne kiyā maat
mai-ḳhāna ne kī buniyād meñ aayā hai tazalzul
baiThe haiñ isī fikr meñ pīrān-e-ḳharābāt
chehroñ pe jo surḳhī nazar aatī hai sar-e-shām
yā ġhāza hai yā sāġhar o miinā kī karāmāt
tū qādir o aadil hai magar tere jahāñ meñ
haiñ talḳh bahut banda-e-mazdūr ke auqāt
kab Dūbegā sarmāya-parastī kā safīna
duniyā hai tirī muntazir-e-roz-e-mukāfāt