silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-hādsāt
silsila-e-roz-o-shab asl-e-hayāt-o-mamāt
silsila-e-roz-o-shab tār-e-harīr-e-do-rañg
jis se banātī hai zaat apnī qabā-e-sifāt
silsila-e-roz-o-shab sāz-e-azal kī fuġhāñ
jis se dikhātī hai zaat zer-o-bam-e-mumkināt
tujh ko parakhtā hai ye mujh ko parakhtā hai ye
silsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kā.enāt
tū ho agar kam ayaar maiñ huuñ agar kam ayaar
maut hai terī barāt maut hai merī barāt
tere shab-o-roz kī aur haqīqat hai kyā
ek zamāne kī rau jis meñ na din hai na raat
āni-o-fānī tamām mojaza-hā-e-hunar
kār-e-jahāñ be-sabāt kār-e-jahāñ be-sabāt
avval o āḳhir fanā bātin o zāhir fanā
naqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-āḳhir fanā
hai magar is naqsh meñ rañg-e-sabāt-e-davām
jis ko kiyā ho kisī mard-e-ḳhudā ne tamām
mard-e-ḳhudā kā amal ishq se sāhab faroġh
ishq hai asl-e-hayāt maut hai us par harām
tund o subuk-sair hai garche zamāne kī rau
ishq ḳhud ik sail hai sail ko letā hai thaam
ishq kī taqvīm meñ asr-e-ravāñ ke sivā
aur zamāne bhī haiñ jin kā nahīñ koī naam
ishq dam-e-jibra.īl ishq dil-e-mustafā
ishq ḳhudā kā rasūl ishq ḳhudā kā kalām
ishq kī mastī se hai paikar-e-gil tābnāk
ishq hai sahbā-e-ḳhām ishq hai kās-ul-karām
ishq faqīh-e-haram ishq amīr-e-junūud
ishq hai ibnus-sabīl is ke hazāroñ maqām
ishq ke mizrāb se naġhma-e-tār-e-hayāt
ishq se nūr-e-hayāt ishq se nār-e-hayāt
ai haram-e-qurtuba ishq se terā vajūd
ishq sarāpā davām jis meñ nahīñ raft o buud
rañg ho yā ḳhisht o sañg chañg ho yā harf o saut
mojaza-e-fan kī hai ḳhūn-e-jigar se numūd
qatra-e-ḳhūn-e-jigar sil ko banātā hai dil
ḳhūn-e-jigar se sadā soz o surūr o surūd
terī fazā dil-faroz merī navā sīna-soz
tujh se diloñ kā huzūr mujh se diloñ kī kushūd
arsh-e-mo.allā se kam sīna-e-ādam nahīñ
garche kaf-e-ḳhāk kī had hai sip.har-e-kabūd
paikar-e-nūrī ko hai sajda mayassar to kyā
us ko mayassar nahīñ soz-o-gudāz-e-sajūd
kāfir-e-hindi huuñ maiñ dekh mirā zauq o shauq
dil meñ salāt o durūd lab pe salāt o durūd
shauq mirī lai meñ hai shauq mirī nai meñ hai
naġhma-e-allāh-hū mere rag-o-pai meñ hai
terā jalāl o jamāl mard-e-ḳhudā kī dalīl
vo bhī jalīl o jamīl tū bhī jalīl o jamīl
terī binā pā.edār tere sutūñ be-shumār
shaam ke sahrā meñ ho jaise hujūm-e-nuḳhīl
tere dar-o-bām par vādī-e-aiman kā nuur
terā minār-e-buland jalva-gah-e-jibra.īl
miT nahīñ saktā kabhī mard-e-musalmāñ ki hai
us kī azānoñ se faash sirr-e-kalīm-o-ḳhalīl
us kī zamīñ be-hudūd us kā ufuq be-saġhūr
us ke samundar kī mauj dajla o danyūb o niil
us ke zamāne ajiib us ke fasāne ġharīb
ahd-e-kuhan ko diyā us ne payām-e-rahīl
sāqi-e-rabāb-e-zauq fāras-e-maidān-e-shauq
baada hai us kā rahīq teġh hai us kī asiil
mard-e-sipāhī hai vo us kī zirah lā-ilāh
sāya-e-shamshīr meñ us kī panah lā-ilāh
tujh se huā āshkār banda-e-momin kā raaz
us ke dinoñ kī tapish us kī shaboñ kā gudāz
us kā maqām-e-buland us kā ḳhayāl-e-azīm
us kā surūr us kā shauq us kā niyāz us kā naaz
haath hai allāh kā banda-e-momin kā haath
ġhālib o kār-āfrīñ kār-kushā kārsāz
ḳhākī o nūrī-nihād banda-e-maulā-sifāt
har do-jahāñ se ġhanī us kā dil-e-be-niyāz
us kī umīdeñ qalīl us ke maqāsid jalīl
us kī adā dil-fareb us kī nigah dil-navāz
aaj bhī is des meñ aam hai chashm-e-ġhazāl
aur nigāhoñ ke tiir aaj bhī haiñ dil-nashīñ
bū-e-yaman aaj bhī us kī havāoñ meñ hai
rañg-e-hijāz aaj bhī us kī navāoñ meñ hai
dīda-e-anjum meñ hai terī zamīñ āsmāñ
aah ki sadiyoñ se hai terī fazā be-azāñ
kaun sī vaadī meñ hai kaun sī manzil meñ hai
ishq-e-balā-ḳhez kā qāfla-e-saḳht-jāñ
dekh chukā almanī shorish-e-islāh-e-dīñ
jis ne na chhoḌe kahīñ naqsh-e-kuhan ke nishāñ
harf-e-ġhalat ban ga.ī ismat-e-pīr-e-kunisht
aur huī fikr kī kashti-e-nāzuk ravāñ
chashm-e-farānsīs bhī dekh chukī inqalāb
jis se digar-gūñ huā maġhrabiyoñ kā jahāñ
millat-e-rūmī-nizhād kohna-parastī se piir
lazzat-e-tajdīda se vo bhī huī phir javāñ
rūh-e-musalmāñ meñ hai aaj vahī iztirāb
rāz-e-ḳhudā.ī hai ye kah nahīñ saktī zabāñ
narm dam-e-guftugū garm dam-e-justujū
razm ho yā bazm ho pāk-dil o pāk-bāz
nuqta-e-parkār-e-haq mard-e-ḳhudā kā yaqīñ
aur ye aalam tamām vahm o tilism o majāz
aql kī manzil hai vo ishq kā hāsil hai vo
halqa-e-āfāq meñ garmi-e-mahfil hai vo
kāba-e-arbāb-e-fan satvat-e-dīn-e-mubīñ
tujh se haram martabat undulusiyoñ kī zamīñ
hai tah-e-gardūñ agar husn meñ terī nazīr
qalb-e-musalmāñ meñ hai aur nahīñ hai kahīñ
aah vo mardān-e-haq vo arabī shahsavār
hāmil-e-ḳhalq-e-azīm sāhab-e-sidq-o-yaqīñ
jin kī hukūmat se hai faash ye ramz-e-ġharīb
saltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shāhī nahīñ
jin kī nigāhoñ ne kī tarbiyat-e-sharq-o-ġharb
zulmat-e-europe meñ thī jin kī ḳhirad-rāh-bīñ
jin ke lahū ke tufail aaj bhī haiñ undulusī
ḳhush-dil o garam-iḳhtilāt saada o raushan-jabīñ
dekhiye is bahr kī tah se uchhaltā hai kyā
gumbad-e-nīlofarī rañg badaltā hai kyā
vādi-e-koh-sār meñ ġharq-e-shafaq hai sahāb
lāl-e-badaḳhshāñ ke Dher chhoḌ gayā āftāb
saada o pur-soz hai duḳhtar-e-dahqāñ kā giit
kashtī-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabāb
āb-e-ravān-e-kabīr tere kināre koī
dekh rahā hai kisī aur zamāne kā ḳhvāb
ālam-e-nau hai abhī parda-e-taqdīr meñ
merī nigāhoñ meñ hai us kī sahar be-hijāb
parda uThā duuñ agar chehra-e-afkār se
lā na sakegā farañg merī navāoñ kī taab
jis meñ na ho inqalāb maut hai vo zindagī
rūh-e-umam kī hayāt kashmakash-e-inqilāb
sūrat-e-shamshīr hai dast-e-qazā meñ vo qaum
kartī hai jo har zamāñ apne amal kā hisāb
naqsh haiñ sab nā-tamām ḳhūn-e-jigar ke baġhair
naġhma hai saudā-e-ḳhām ḳhūn-e-jigar ke baġhair