urūs-e-shab kī zulfeñ thiiñ abhī nā-āshnā ḳham se
sitāre āsmāñ ke be-ḳhabar the lazzat-e-ram se
qamar apne libās-e-nau meñ begāna sā lagtā thā
na thā vāqif abhī gardish ke ā.īn-e-musallam se
abhī imkāñ ke zulmat-ḳhāne se ubhrī hī thī duniyā
mazāq-e-zindagī poshīda thā pahnā-e-ālam se
kamāl-e-nazm-e-hastī kī abhī thī ibtidā goyā
huvaidā thī nagīne kī tamannā chashm-e-ḳhātam se
sunā hai ālam-e-bālā meñ koī kīmiyā-gar thā
safā thī jis kī ḳhāk-e-pā meñ baḌh kar sāġhar-e-jam se
likhā thā arsh ke paa.e pe ik iksīr kā nusḳha
chhupāte the farishte jis ko chashm-e-rūh-e-ādam se
nigāheñ taak meñ rahtī thiiñ lekin kīmiyā-gar kī
vo is nusḳhe ko baḌh kar jāntā thā ism-e-āzam se
baḌhā tasbīh-ḳhvānī ke bahāne arsh kī jānib
tamannā-e-dilī āḳhir bar aa.ī sa.i-e-paiham se
phirāyā fikr-e-ajzā ne use maidān-e-imkāñ meñ
chhupegī kyā koī shai bārgāh-e-haq ke mahram se
chamak taare se māñgī chāñd se dāġh-e-jigar māñgā
uḌaa.ī tīrgī thoḌī sī shab kī zulf-e-barham se
taḌap bijlī se paa.ī huur se pākīzgī paa.ī
harārat lī nafas-hā-e-masīh-e-ibn-e-maryam se
zarā sī phir rubūbiyat se shān-e-be-niyāzī lī
malak se ājizī uftādgī taqdīr shabnam se
phir in ajzā ko gholā chashma-e-haivāñ ke paanī meñ
murkkab ne mohabbat naam paayā arsh-e-āzam se
muhavvis ne ye paanī hasti-e-nau-ḳhez par chhiḌkā
girah kholī hunar ne us ke goyā kār-e-ālam se
huī jumbish ayaañ zarroñ ne lutf-e-ḳhvāb ko chhoḌā
gale milne lage uTh uTh ke apne apne hamdam se
ḳhirām-e-nāz paayā āftāboñ ne sitāroñ ne
chaTak ġhunchoñ ne paa.ī daaġh paa.e lāla-zāroñ ne