vo ek lamha
jo sar paTaktā hai pattharoñ par
paḌā huā hai jo shaam ke phailte dhuveñ meñ lahū meñ lat-pat
vo ek lamha
ki jis kī ḳhātir hazāroñ sadiyāñ karoḌoñ barsoñ se ābla-pā
magar vo lamha
safar kī piilī udāsiyoñ ke kabūtaroñ ke paroñ se uljhā
savād-e-manzil kī mish.aloñ meñ
pighal pighal kar ayaañ huā hai
vo ek lamha
sulagte shabdoñ kī uñgliyoñ se girā jo nīche
to dhañs gayā phir aTal ma.ānī kī daldaloñ meñ
magar ye achchhā huā ki us dam
khajūr bhar kar jahāz aa.e
tamām nazreñ khajūr kī guThliyoñ meñ inzāl DhūñDtī thiiñ
vo chhe mahīne hamal uThā.e hamāre ghar kī qadīm zīnat
na sīḌhiyoñ par
na khiḌkiyoñ meñ
na chaa.e kī pyāliyoñ se uThte dhuveñ ke pīchhe
tamannā kāġhaz pe phail jaa.e to us kī shiddat kā naam TuuTe
safed bakrī kī aañkh se kaun jhāñktā hai
tumheñ ḳhabar hai
tumheñ ḳhabar ho to mujh se kah do
maiñ apne vālid kī qabr kā rāsta talāshūñ
idhar bhī sūraj meñ saarā manzar lahū lahū hai
udhar bhī sāyoñ meñ saarī āñhkeñ dhuāñ dhuāñ haiñ
ye band āñkhoñ meñ kaun chhup kar
badan ke andar ko jhāñktā hai
ḳhamoshiyoñ ke khañDar meñ gūñjī
ḳhamoshiyoñ ke khañDar meñ gūñjī azaañ fajar kī
vazū ke paanī ke saath saare gunāh Tapke
duā meñ us ne sharāb māñgī to
tishnagī ke sarāb chhalke
sitāre nīche utar ke aa.e
vo ek lamha
shikastagī ke badan ke andar
vo ek lamha
shikastagī ke badan se bāhar
vo ek lamha hazār sadiyoñ ke bandhanoñ se nikal kar aayā
vo ek lamha jo dastaras ke vasī.a halqoñ se duur rah kar
rutūbatoñ meñ baḌī tamāzat se muskurāyā
muqaddaroñ meñ hazār lamhoñ ke darmiyāñ jis kā taḳht ḳhālī
lahū meñ lat-pat vo ek lamha
vo ek lamha jo sar paTaktā hai pattharoñ par!