sune koī mirī ġhurbat kī dāstāñ mujh se
bhulāyā qissa-e-paimān-e-avvalīñ meñ ne
lagī na merī tabī.at riyāz-e-jannat meñ
piyā shu.ūr kā jab jām-e-ātishīñ maiñ ne
rahī haqīqat-e-ālam kī justujū mujh ko
dikhāyā auj-e-ḳhayāl-e-falak-nashīñ maiñ ne
milā mizāj-e-taġhayyur-pasand kuchh aisā
kiyā qarār na zer-e-falak kahīñ maiñ ne
nikālā kaabe se patthar kī mūratoñ ko kabhī
kabhī butoñ ko banāyā haram-nashīñ maiñ ne
kabhī maiñ zauq-e-takallum meñ tuur par pahuñchā
chhupāyā nūr-e-azl zer-e-āstīñ maiñ ne
kabhī salīb pe apnoñ ne mujh ko laTkāyā
kiyā falak ko safar chhoḌ kar zamīñ maiñ ne
kabhī maiñ ġhār-e-hirā meñ chhupā rahā barsoñ
diyā jahāñ ko kabhī jām-e-āḳhrīñ maiñ ne
sunāyā hind meñ aa kar surūd-e-rabbānī
pasand kī kabhī yūnāñ kī sarzamīñ maiñ ne
dayār-e-hind ne jis dam mirī sadā na sunī
basāyā ḳhitta-e-jāpān o mulk-e-chīñ maiñ ne
banāyā zarroñ kī tarkīb se kabhī aalam
ḳhilāf-e-ma.ani-e-tālīm-e-ahl-e-dīñ maiñ ne
lahū se laal kiyā saikḌoñ zamīnoñ ko
jahāñ maiñ chheḌ ke paikār-e-aql-o-dīñ maiñ ne
samajh meñ aa.ī haqīqat na jab sitāroñ kī
isī ḳhayāl meñ rāteñ guzār diiñ maiñ ne
Darā sakīñ na kalīsā kī mujh ko talvāreñ
sikhāyā mas.ala-e-gardish-e-zamīñ maiñ ne
kashish kā raaz huvaidā kiyā zamāne par
lagā ke ā.īna-e-aql-e-dūr-bīñ maiñ ne
kiyā asiir shuāoñ ko barq-e-muztar ko
banā dī ġhairat-e-jannat ye sarzamīñ maiñ ne
magar ḳhabar na milī aah rāz-e-hastī kī
kiyā ḳhirad se jahāñ ko tah-e-nagīñ maiñ ne
huī jo chashm-e-mazāhir-parast vā āḳhir
to paayā ḳhāna-e-dil meñ use makīñ maiñ ne