kis se Darte ho ki sab log tumhārī hī tarah
ek se haiñ vahī āñkheñ vahī chehre vahī dil
kis pe shak karte ho jitne bhī musāfir haiñ yahāñ
ek hī sab kā qabīla vahī paikar vahī gil
ham to vo the ki mohabbat thā vatīra jin kā
pyaar se miltā to dushman ke bhī ho jaate the
is tavaqqo.a pe ki shāyad koī mehmāñ aa jaa.e
ghar ke darvāze khule chhoḌ ke so jaate the
ham to aa.e the ki dekheñge tumhāre qarye
vo dar-o-bām ki tārīḳh ke sūrat-gar haiñ
vo arīne vo masājid vo kalīsā vo mahal
aur vo log jo har naqsh se afzal-tar haiñ
rome ke but hoñ ki paris kī ho monalisa
keats kī qabr ho yā turbat-e-firdausī ho
qartaba ho ki ajantā ki mohanjodaḌo
dīda-e-shauq na mahrūm-e-nazar-bosī ho
kis ne duniyā ko bhī daulat kī tarah bāñTā hai
kis ne taqsīm kiye haiñ ye asāse saare
kis ne dīvār tafāvut kī uThā.ī logo
kyuuñ samundar ke kināre pe haiñ pyāse saare