bazm-e-jahāñ meñ meñ bhī huuñ a sham-e-dardmand
faryād dar girah-e-sifat daana sipand
dī ishq ne harārat-e-soz-e-darūñ tujhe
aur gul-farosh ashk shafaq-gūñ kiyā mujhe
ho sham-e-bazm-e-aish ki sham-e-mazār-e-tū
har haal ashk-e-ġham se rahī ham-kanār tū
yak-bīñ tirī nazar sifat-e-āshiqān-e-rāz
merī nigāh māya-e-āshob-e-imtiyāz
ka.abe meñ but-kade meñ hai yaksāñ tirī ziyā
maiñ imtiyāz-e-dair-o-haram meñ phañsā huā
hai shān-e-āh kī tire dūd-e-siyāh meñ
poshīda koī dil hai tirī jalva-gāh meñ
jaltī hai tū ki barq-e-tajallī se duur hai
be-dard tere soz ko samjhe ki nuur hai
tū jal rahī hai aur tujhe kuchh ḳhabar nahīñ
biinā hai aur soz-e-darūñ par nazar nahīñ
meñ josh iztirāb se sīmāb vaar bhī
āgāh-e-iztirāb dil-e-be-qarār bhī
thā ye bhī koī naaz kisī be-niyāz kā
ehsās de diyā mujhe apne gudāz kā
ye āgahī marī mujhe rakhtī hai be-qarār
ḳhvābīda is sharar meñ haiñ ātish-kade hazār
ye imtiyāz-e-rif.at-o-pastī isī se hai
gul meñ mahak sharāb meñ mastī isī se hai
bustān-o-bulbul-o-gul-o-bū hai ye āgahī
asl kashākash-o-man-o-tū hai ye āgahī
sub.h-e-azal jo husn huā dilsitān-e-ishq
āvāz-e-kun huī tapish āmoz-e-jān-e-ishq
ye hukm thā ki gulshan-e-kun kī bahār dekh
ek aañkh le ke ḳhvāb-e-pareshāñ hazār dekh
mujh se ḳhabar na pūchh hijāb-e-vajūd kī
shām-e-firāq sub.h thī merī numūd kī
vo din ga.e ki qaid se maiñ āshnā na thā
zeb-e-daraḳht-e-tūr mirā āshiyāna thā
qaidī huuñ aur qafas ko chaman jāntā huuñ maiñ
ġhurbat ke ġham-kade ko vatan jāntā huuñ maiñ
yād-e-vatan fasurdagī be-sabab banī
shauq-e-nazar kabhī kabhī zauq-e-talab banī
a sham.a intihā-e-fareb-e-ḳhyāl dekh
masjūd sākinān-e-falak kā ma.aal dekh
mazmūñ firāq kā huuñ surayyā nishāñ huuñ maiñ
āhañg-e-taba nāzim-e-kaun-o-makāñ huuñ maiñ
bāñdhā mujhe jo us ne to chāhī mirī numūd
tahrīr kar diyā sar-e-dīvān-e-hast-o-būd
gauhar ko musht-e-ḳhāk maiñ rahnā pasand hai
bandish agarche sust hai mazmūñ buland hai
chashm-e-ġhalat nagar kā ye saarā qusūr hai
aalam zuhūr jalva-e-zauq-e-shu.ūr hai
ye silsila zamān-o-makāñ kā kamand hai
tauq-e-gulū-e-husn tamāshā-pasand hai
manzil kā ishtiyāq hai ġham-karda raah huuñ
a sham.a meñ asīr-e-fareb-e-nigāh huuñ
sayyād aap halqa-e-dām-e-sitam bhī aap
bām-e-haram bhī tā.ir-e-bām-e-haram bhī aap
maiñ husn huuñ ki ishq sarāpā gudāz huuñ
khultā nahīñ ki naaz huuñ maiñ yā niyāz huuñ
haañ āshnā-e-lab ho na rāz-e-kuhan kahīñ
phir chhiḌ na jaa.e qissa-e-dār-o-rasan kahīñ