shikwa

Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn

kyuuñ zayāñ-kār banūñ sūd-farāmosh rahūñ

fikr-e-fardā na karūñ mahv-e-ġham-e-dosh rahūñ

naale bulbul ke sunūñ aur hama-tan gosh rahūñ

ham-navā maiñ bhī koī gul huuñ ki ḳhāmosh rahūñ

jur.at-āmoz mirī tāb-e-suḳhan hai mujh ko

shikva allāh se ḳhākam-ba-dahan hai mujh ko

hai bajā sheva-e-taslīm meñ mash.hūr haiñ ham

qissa-e-dard sunāte haiñ ki majbūr haiñ ham

saaz ḳhāmosh haiñ fariyād se māmūr haiñ ham

naala aatā hai agar lab pe to māzūr haiñ ham

ai ḳhudā shikva-e-arbāb-e-vafā bhī sun le

ḳhūgar-e-hamd se thoḌā sā gila bhī sun le

thī to maujūd azal se hī tirī zāt-e-qadīm

phuul thā zeb-e-chaman par na pareshāñ thī shamīm

shart insāf hai ai sāhib-e-altāf-e-amīm

bū-e-gul phailtī kis tarah jo hotī na nasīm

ham ko jam.īyat-e-ḳhātir ye pareshānī thī

varna ummat tire mahbūb kī dīvānī thī

ham se pahle thā ajab tere jahāñ kā manzar

kahīñ masjūd the patthar kahīñ mābūd shajar

ḳhūgar-e-paikar-e-mahsūs thī insāñ kī nazar

māntā phir koī an-dekhe ḳhudā ko kyūñkar

tujh ko mālūm hai letā thā koī naam tirā

quvvat-e-bāzu-e-muslim ne kiyā kaam tirā

bas rahe the yahīñ saljūq bhī tūrānī bhī

ahl-e-chīñ chiin meñ īrān meñ sāsānī bhī

isī māmūre meñ ābād the yūnānī bhī

isī duniyā meñ yahūdī bhī the nasrānī bhī

par tire naam pe talvār uThā.ī kis ne

baat jo bigḌī huī thī vo banā.ī kis ne

the hamīñ ek tire mārka-ārāoñ meñ

ḳhushkiyoñ meñ kabhī laḌte kabhī dariyāoñ meñ

diiñ azāneñ kabhī europe ke kalīsāoñ meñ

kabhī africa ke tapte hue sahrāoñ meñ

shaan āñkhoñ meñ na jachtī thī jahāñ-dāroñ kī

kalma paḌhte the hamīñ chhāñv meñ talvāroñ kī

ham jo jiite the to jañgoñ kī musībat ke liye

aur marte the tire naam kī azmat ke liye

thī na kuchh teġhzanī apnī hukūmat ke liye

sar-ba-kaf phirte the kyā dahr meñ daulat ke liye

qaum apnī jo zar-o-māl-e-jahāñ par martī

but-faroshī ke evaz but-shikanī kyuuñ kartī

Tal na sakte the agar jañg meñ aḌ jaate the

paañv sheroñ ke bhī maidāñ se ukhaḌ jaate the

tujh se sarkash huā koī to bigaḌ jaate the

teġh kyā chiiz hai ham top se laḌ jaate the

naqsh-e-tauhīd kā har dil pe biThāyā ham ne

zer-e-ḳhanjar bhī ye paiġhām sunāyā ham ne

tū hī kah de ki ukhāḌā dar-e-ḳhaibar kis ne

shahr qaisar kā jo thā us ko kiyā sar kis ne

toḌe maḳhlūq ḳhudāvandoñ ke paikar kis ne

kaaT kar rakh diye kuffār ke lashkar kis ne

kis ne ThanDā kiyā ātish-kada-e-īrāñ ko

kis ne phir zinda kiyā tazkira-e-yazdāñ ko

kaun sī qaum faqat terī talabgār huī

aur tere liye zahmat-kash-e-paikār huī

kis kī shamshīr jahāñgīr jahāñ-dār huī

kis kī takbīr se duniyā tirī bedār huī

kis kī haibat se sanam sahme hue rahte the

muñh ke bal gir ke hū-allahu-ahad kahte the

aa gayā ain laḌā.ī meñ agar vaqt-e-namāz

qibla-rū ho ke zamīñ-bos huī qaum-e-hijāz

ek hī saf meñ khaḌe ho ga.e mahmūd o ayaaz

na koī banda rahā aur na koī banda-navāz

banda o sāhab o mohtāj o ġhanī ek hue

terī sarkār meñ pahuñche to sabhī ek hue

mahfil-e-kaun-o-makāñ meñ sahar o shaam phire

mai-e-tauhīd ko le kar sifat-e-jām phire

koh meñ dasht meñ le kar tirā paiġhām phire

aur mālūm hai tujh ko kabhī nākām phire

dasht to dasht haiñ dariyā bhī na chhoḌe ham ne

bahr-e-zulmāt meñ dauḌā diye ghoḌe ham ne

safha-e-dahr se bātil ko miTāyā ham ne

nau-e-insāñ ko ġhulāmī se chhuḌāyā ham ne

tere ka.abe ko jabīnoñ se basāyā ham ne

tere qur.ān ko sīnoñ se lagāyā ham ne

phir bhī ham se ye gila hai ki vafādār nahīñ

ham vafādār nahīñ tū bhī to dildār nahīñ

ummateñ aur bhī haiñ un meñ gunahgār bhī haiñ

ijz vaale bhī haiñ mast-e-mai-e-pindār bhī haiñ

un meñ kāhil bhī haiñ ġhāfil bhī haiñ hushyār bhī haiñ

saikḌoñ haiñ ki tire naam se be-zār bhī haiñ

rahmateñ haiñ tirī aġhyār ke kāshānoñ par

barq girtī hai to bechāre musalmānoñ par

but sanam-ḳhānoñ meñ kahte haiñ musalmān ga.e

hai ḳhushī un ko ki ka.abe ke nigahbān ga.e

manzil-e-dahr se ūñToñ ke hudī-ḳhvān ga.e

apnī baġhloñ meñ dabā.e hue qur.ān ga.e

ḳhanda-zan kufr hai ehsās tujhe hai ki nahīñ

apnī tauhīd kā kuchh paas tujhe hai ki nahīñ

ye shikāyat nahīñ haiñ un ke ḳhazāne māmūr

nahīñ mahfil meñ jinheñ baat bhī karne kā shu.ūr

qahr to ye hai ki kāfir ko mileñ huur o qusūr

aur bechāre musalmāñ ko faqat vāda-e-hūr

ab vo altāf nahīñ ham pe ināyāt nahīñ

baat ye kyā hai ki pahlī sī mudārāt nahīñ

kyuuñ musalmānoñ meñ hai daulat-e-duniyā nāyāb

terī qudrat to hai vo jis kī na had hai na hisāb

tū jo chāhe to uThe sīna-e-sahrā se habāb

rah-rav-e-dasht ho sailī-zada-e-mauj-e-sarāb

tān-e-aġhyār hai rusvā.ī hai nādārī hai

kyā tire naam pe marne kā evaz ḳhvārī hai

banī aġhyār kī ab chāhne vaalī duniyā

rah ga.ī apne liye ek ḳhayālī duniyā

ham to ruḳhsat hue auroñ ne sambhālī duniyā

phir na kahnā huī tauhīd se ḳhālī duniyā

ham to jiite haiñ ki duniyā meñ tirā naam rahe

kahīñ mumkin hai ki saaqī na rahe jaam rahe

terī mahfil bhī ga.ī chāhne vaale bhī ga.e

shab kī aaheñ bhī ga.iiñ sub.h ke naale bhī ga.e

dil tujhe de bhī ga.e apnā sila le bhī ga.e

aa ke baiThe bhī na the aur nikāle bhī ga.e

aa.e ushshāq ga.e vāda-e-fardā le kar

ab unheñ DhūñD charāġh-e-ruḳh-e-zebā le kar

dard-e-lailā bhī vahī qais kā pahlū bhī vahī

najd ke dasht o jabal meñ ram-e-āhū bhī vahī

ishq kā dil bhī vahī husn kā jaadū bhī vahī

ummat-e-ahmad-e-mursil bhī vahī tū bhī vahī

phir ye āzurdagi-e-ġhair sabab kyā ma.anī

apne shaidāoñ pe ye chashm-e-ġhazab kyā ma.anī

tujh ko chhoḌā ki rasūl-e-arabī ko chhoḌā

but-garī pesha kiyā but-shikanī ko chhoḌā

ishq ko ishq kī āshufta-sarī ko chhoḌā

rasm-e-salmān o uvais-e-qaranī ko chhoḌā

aag takbīr kī sīnoñ meñ dabī rakhte haiñ

zindagī misl-e-bilāl-e-habashī rakhte haiñ

ishq kī ḳhair vo pahlī sī adā bhī na sahī

jāda-paimāli-e-taslīm-o-razā bhī na sahī

muztarib dil sifat-e-qibla-numā bhī na sahī

aur pābandi-e-ā.īn-e-vafā bhī na sahī

kabhī ham se kabhī ġhairoñ se shanāsā.ī hai

baat kahne kī nahīñ tū bhī to harjā.ī hai

sar-e-fārāñ pe kiyā diin ko kāmil tū ne

ik ishāre meñ hazāroñ ke liye dil tū ne

ātish-andoz kiyā ishq kā hāsil tū ne

phūñk dī garmi-e-ruḳhsār se mahfil tū ne

aaj kyuuñ siine hamāre sharer-ābād nahīñ

ham vahī soḳhta-sāmāñ haiñ tujhe yaad nahīñ

vādi-e-najd meñ vo shor-e-salāsil na rahā

qais dīvāna-e-nazzāra-e-mahmil na rahā

hausle vo na rahe ham na rahe dil na rahā

ghar ye ujḌā hai ki tū raunaq-e-mahfil na rahā

ai ḳhushā aañ roz ki aa.ī o ba-sad naaz aa.ī

be-hijābāna sū-e-mahfil-e-mā baaz aa.ī

bāda-kash ġhair haiñ gulshan meñ lab-e-jū baiThe

sunte haiñ jām-ba-kaf naġhma-e-kū-kū baiThe

daur hañgāma-e-gulzār se yaksū baiThe

tere dīvāne bhī haiñ muntazir-e-hū baiThe

apne parvānoñ ko phir zauq-e-ḳhud-afrozī de

barq-e-derīna ko farmān-e-jigar-sozī de

qaum-e-āvāra ināñ-tāb hai phir sū-e-hijāz

le uḌā bulbul-e-be-par ko mazāq-e-parvāz

muztarib-e-bāġh ke har ġhunche meñ hai bū-e-niyāz

tū zarā chheḌ to de tishna-e-mizrāb hai saaz

naġhme betāb haiñ tāroñ se nikalne ke liye

tuur muztar hai usī aag meñ jalne ke liye

mushkileñ ummat-e-marhūm kī āsāñ kar de

mor-e-be-māya ko ham-dosh-e-sulaimāñ kar de

jins-e-nā-yāb-e-mohabbat ko phir arzāñ kar de

hind ke dair-nashīnoñ ko musalmāñ kar de

jū-e-ḳhūñ mī chakad az hasrat-e-dairīna-e-mā

mī tapad naala ba-nishtar kada-e-sīna-e-mā

bū-e-gul le ga.ī bairūn-e-chaman rāz-e-chaman

kyā qayāmat hai ki ḳhud phuul haiñ ġhammāz-e-chaman

ahd-e-gul ḳhatm huā TuuT gayā sāz-e-chaman

uḌ ga.e Dāliyoñ se zamzama-pardāz-e-chaman

ek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab tak

us ke siine meñ hai naġhmoñ kā talātum ab tak

qumriyāñ shāḳh-e-sanobar se gurezāñ bhī huiiñ

pattiyāñ phuul kī jhaḌ jhaḌ ke pareshāñ bhī huiiñ

vo purānī ravisheñ baaġh kī vīrāñ bhī huiiñ

Dāliyāñ pairahan-e-barg se uryāñ bhī huiiñ

qaid-e-mausam se tabī.at rahī āzād us kī

kaash gulshan meñ samajhtā koī fariyād us kī

lutf marne meñ hai baaqī na maza jiine meñ

kuchh maza hai to yahī ḳhūn-e-jigar piine meñ

kitne betāb haiñ jauhar mire ā.īne meñ

kis qadar jalve taḌapte haiñ mire siine meñ

is gulistāñ meñ magar dekhne vaale hī nahīñ

daaġh jo siine meñ rakhte hoñ vo laale hī nahīñ

chaak is bulbul-e-tanhā kī navā se dil hoñ

jāgne vaale isī bāñg-e-dirā se dil hoñ

yaanī phir zinda na.e ahd-e-vafā se dil hoñ

phir isī bāda-e-dairīna ke pyāse dil hoñ

ajamī ḳhum hai to kyā mai to hijāzī hai mirī

naġhma hindī hai to kyā lai to hijāzī hai mirī

Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā

%d bloggers like this: