siyāh chāñd ke TukḌoñ ko maiñ chabā jā.ūñ
safed sāyoñ ke chehroñ se tīrgī Tapke
udaas raat ke bichchhū pahāḌ chaḌh jaa.eñ
havā ke ziine se tanhā.iyāñ utarne lageñ
sajā.e jaa.eñ chhatoñ par marī huī āñhkeñ
palañg ret ke ḳhvāboñ ke saath so jaa.e
kasī ke rone kī āvāz aa.e sūraj se
sitāre ġhaar kī āñtoñ meñ TūTte jaa.eñ
maiñ apnī qaiñchī se kāġhaz kā āsmāñ kāTūñ
nahīf vaqt kī rānoñ pe ḳhvāhisheñ reñgeñ
lahū kā zā.iqa dāñtoñ meñ muskurāne lage
agar ye haath mirī piiTh par chipak jaa.eñ
siyāh chāñd ke TukḌoñ ko maiñ chabā jā.ūñ