dosti ka hath
guzar ga.e ka.ī mausam ka.ī ruteñ badlīñ udaas tum bhī ho yaaro udaas ham bhī haiñ faqat tumhīñ ko nahīñ rañj-e-chāk-dāmānī ki sach kaheñ to darīda-libās ham bhī haiñ tumhāre baam kī sham.eñ bhī tābnāk nahīñ mire falak ke sitāre bhī zard zard se haiñ tumhāre ā.ina-ḳhāne bhī zañg-ālūda mire surāhī o sāġhar bhī gard