saare jahāñ se achchhā hindostāñ hamārā
ham bulbuleñ haiñ is kī ye gulsitāñ hamārā
ġhurbat meñ hoñ agar ham rahtā hai dil vatan meñ
samjho vahīñ hameñ bhī dil ho jahāñ hamārā
parbat vo sab se ūñchā ham-sāya āsmāñ kā
vo santarī hamārā vo pāsbāñ hamārā
godī meñ kheltī haiñ is kī hazāroñ nadiyāñ
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jināñ hamārā
ai āb-rūd-e-gañgā vo din hai yaad tujh ko
utrā tire kināre jab kārvāñ hamārā
maz.hab nahīñ sikhātā aapas meñ bair rakhnā
hindī haiñ ham vatan hai hindostāñ hamārā
yūnān o misr o ruumā sab miT ga.e jahāñ se
ab tak magar hai baaqī nām-o-nishāñ hamārā
kuchh baat hai ki hastī miTtī nahīñ hamārī
sadiyoñ rahā hai dushman daur-e-zamāñ hamārā
‘iqbāl’ koī mahram apnā nahīñ jahāñ meñ
mālūm kyā kisī ko dard-e-nihāñ hamārā