tulu-e-islam

Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn

dalīl-e-sub.h-e-raushan hai sitāroñ kī tunuk-tābī

ufuq se āftāb ubhrā gayā daur-e-girāñ-ḳhvābī

urūq-murda-e-mashriq meñ ḳhūn-e-zindagī dauḌā

samajh sakte nahīñ is raaz ko siinā o fārābī

musalmāñ ko musalmāñ kar diyā tūfān-e-maġhrib ne

talātum-hā-e-dariyā hī se hai gauhar kī sairābī

atā momin ko phir dargāh-e-haq se hone vaalā hai

shikoh-e-turkamānī zehn hindī nutq ārābī

asar kuchh ḳhvāb kā ġhunchoñ meñ baaqī hai tū ai bulbul

navā-rā talḳh-tarmī zan chū zauq-e-naġhma kam-yābī

taḌap sehn-e-chaman meñ āshiyāñ meñ shāḳh-sāroñ meñ

judā paare se ho saktī nahīñ taqdīr-e-sīmābī

vo chashm-e-pāk haiñ kyuuñ zīnat-e-bar-gustavāñ dekhe

nazar aatī hai jis ko mard-e-ġhāzī kī jigar-tābī

zamīr-e-lāla meñ raushan charāġh-e-ārzū kar de

chaman ke zarre zarre ko shahīd-e-justujū kar de

sarishk-e-chashm-e-muslim meñ hai naisāñ kā asar paidā

ḳhalīlullāh ke dariyā meñ hoñge phir guhar paidā

kitāb-e-millat-e-baizā kī phir shīrāza-bandī hai

ye shāḳh-e-hāshmī karne ko hai phir barg-o-bar paidā

rabūd aañ turk shīrāzī dil-e-tabrez-o-kābul rā

sabā kartī hai bū-e-gul se apnā ham-safar paidā

agar usmāniyoñ par koh-e-ġham TuuTā to kyā ġham hai

ki ḳhūn-e-sad-hazār-anjum se hotī hai sahar paidā

jahāñbānī se hai dushvār-tar kār-e-jahāñ-bīnī

jigar ḳhuuñ ho to chashm-e-dil meñ hotī hai nazar paidā

hazāroñ saal nargis apnī be-nūrī pe rotī hai

baḌī mushkil se hotā hai chaman meñ dīda-var paidā

navā-pairā ho ai bulbul ki ho tere tarannum se

kabūtar ke tan-e-nāzuk meñ shāhīñ kā jigar paidā

tire siine meñ hai poshīda rāz-e-zindagī kah de

musalmāñ se hadīs-e-soz-o-sāz-e-zindagī kah de

ḳhudā-e-lam-yazal kā dast-e-qudrat tū zabāñ tū hai

yaqīñ paidā kar ai ġhāfil ki maġhlūb-e-gumāñ tū hai

pare hai charḳh-e-nīlī-fām se manzil musalmāñ kī

sitāre jis kī gard-e-rāh hoñ vo kārvāñ to hai

makāñ faanī makīñ faanī azal terā abad terā

ḳhudā kā āḳhirī paiġhām hai tū jāvedāñ tū hai

Hinā-band-e-urūs-e-lāla hai ḳhūn-e-jigar terā

tirī nisbat barāhīmī hai memār-e-jahāñ tū hai

tirī fitrat amiiñ hai mumkināt-e-zindagānī kī

jahāñ ke jauhar-e-muzmar kā goyā imtihāñ to hai

jahān-e-āb-o-gil se ālam-e-jāved kī ḳhātir

nubuvvat saath jis ko le ga.ī vo armuġhāñ tū hai

ye nukta sarguzisht-e-millat-e-baizā se hai paidā

ki aqvām-e-zamīn-e-asia kā pāsbāñ tū hai

sabaq phir paḌh sadāqat kā adālat kā shujā.at kā

liyā jā.egā tujh se kaam duniyā kī imāmat kā

yahī maqsūd-e-fitrat hai yahī ramz-e-musalmānī

uḳhuvvat kī jahāñgīrī mohabbat kī farāvānī

butān-e-rañg-o-ḳhūñ ko toḌ kar millat meñ gum ho jā

na tūrānī rahe baaqī na īrānī na afġhānī

miyān-e-shāḳh-sārāñ sohbat-e-murġh-e-chaman kab tak

tire baazū meñ hai parvāz-e-shāhīn-e-qahastānī

gumāñ-ābād hastī meñ yaqīñ mard-e-musalmāñ kā

bayābāñ kī shab-e-tārīk meñ qindīl-e-rohbānī

miTāyā qaisar o kisrā ke istibdād ko jis ne

vo kyā thā zor-e-haidar faqr-e-bū-zar sidq-e-salmānī

hue ahrār-e-millat jāda-paimā kis tajammul se

tamāshā.ī shigāf-e-dar se haiñ sadiyoñ ke zindānī

sabāt-e-zindagī īmān-e-mohkam se hai duniyā meñ

ki almānī se bhī pā.enda-tar niklā hai tūrānī

jab is añgāra-e-ḳhākī meñ hotā hai yaqīñ paidā

to kar letā hai ye bāl-o-par-e-rūh-ul-amīñ paidā

ġhulāmī meñ na kaam aatī haiñ shamshīreñ na tadbīreñ

jo ho zauq-e-yaqīñ paidā to kaT jaatī haiñ zanjīreñ

koī andāza kar saktā hai us ke zor-e-bāzū kā

nigāh-e-mard-e-momin se badal jaatī haiñ taqdīreñ

vilāyat pādshāhī ilm-e-ashiyā kī jahāñgīrī

ye sab kyā haiñ faqat ik nukta-e-īmāñ kī tafsīreñ

barāhīmī nazar paidā magar mushkil se hotī hai

havas chhup chhup ke sīnoñ meñ banā letī hai tasvīreñ

tamīz-e-bandā-o-āqā fasād-e-ādmiyat hai

hazar ai chīra-dastāñ saḳht haiñ fitrat kī ta.azīreñ

haqīqat ek hai har shai kī ḳhākī ho ki nuurī ho

lahū ḳhurshīd kā Tapke agar zarre kā dil chīreñ

yaqīñ mohkam amal paiham mohabbat fātah-e-ālam

jihād-e-zindagānī meñ haiñ ye mardoñ kī shamshīreñ

che bāyad mard rā tab-e-buland mashrab-e-nābe

dil-e-garme nigāh-e-pāk-bīne jān-e-betābe

uqābī shaan se jhapTe the jo be-bāl-o-par nikle

sitāre shaam ke ḳhūn-e-shafaq meñ Duub kar nikle

hue madfūn-e-dariyā zer-e-dariyā tairne vaale

tamāñche mauj ke khāte the jo ban kar guhar nikle

ġhubār-e-rahguzar haiñ kīmiyā par naaz thā jin ko

jabīneñ ḳhaak par rakhte the jo iksīr-gar nikle

hamārā narm-rau qāsid payām-e-zindagī laayā

ḳhabar detī thiiñ jin ko bijliyāñ vo be-ḳhabar nikle

haram rusvā huā pīr-e-haram kī kam-nigāhī se

javānān-e-tatārī kis qadar sāhab-nazar nikle

zamīñ se nūryān-e-āsmāñ-parvāz kahte the

ye ḳhākī zinda-tar pā.enda-tar tābinda-tar nikle

jahāñ meñ ahl-e-īmāñ sūrat-e-ḳhurshīd jiite haiñ

idhar Duube udhar nikle udhar Duube idhar nikle

yaqīñ afrād kā sarmāya-e-tāmīr-e-millat hai

yahī quvvat hai jo sūrat-gar-e-taqdīr-e-millat hai

tū rāz-e-kun-fakāñ hai apnī āñkhoñ par ayaañ ho jā

ḳhudī kā rāz-dāñ ho jā ḳhudā kā tarjumāñ ho jā

havas ne kar diyā hai TukḌe TukḌe nau-e-insāñ ko

uḳhuvvat kā bayāñ ho jā mohabbat kī zabāñ ho jā

ye hindī vo ḳhurāsānī ye afġhānī vo tūrānī

tū ai sharminda-e-sāhil uchhal kar be-karāñ ho jā

ġhubār-ālūda-e-rañg-o-nasab haiñ bāl-o-par tere

tū ai murġh-e-haram uḌne se pahle par-fishāñ ho jā

ḳhudī meñ Duub jā ġhāfil ye sirr-e-zindagānī hai

nikal kar halqa-e-shām-o-sahar se jāvedāñ ho jā

masāf-e-zindagī meñ sīrat-e-faulād paidā kar

shabistān-e-mohabbat meñ harīr o parniyāñ ho jā

guzar jā ban ke sail-e-tund-rau koh o bayābāñ se

gulistāñ raah meñ aa.e to jū-e-naġhma-ḳhvāñ ho jā

tire ilm o mohabbat kī nahīñ hai intihā koī

nahīñ hai tujh se baḌh kar sāz-e-fitrat meñ navā koī

abhī tak aadmī said-e-zabūn-e-shahryārī hai

qayāmat hai ki insāñ nau-e-insāñ kā shikārī hai

nazar ko ḳhīra kartī hai chamak tahzīb-e-hāzir kī

ye sannā.ī magar jhūTe nigūñ kī reza-kārī hai

vo hikmat naaz thā jis par ḳhirad-mandān-e-maġhrib ko

havas ke panja-e-ḳhūnīñ meñ teġh-e-kār-zārī hai

tadabbur kī fusūñ-kārī se mohkam ho nahīñ saktā

jahāñ meñ jis tamaddun kī binā sarmāya-dārī hai

amal se zindagī bantī hai jannat bhī jahannam bhī

ye ḳhākī apnī fitrat meñ na nuurī hai na naarī hai

ḳharosh-āmoz bulbul ho girah ġhunche kī vā kar de

ki tū is gulsitāñ ke vāste bād-e-bahārī hai

phir uTThī asia ke dil se chiñgārī mohabbat kī

zamīñ jaulāñ-gah-e-atlas qabāyān-e-tatārī hai

bayā paidā ḳharīdā raast jān-e-nā-tavān-e-rā

pas az muddat guzār uftād barmā kārvāne rā

bayā saaqī navā-e-murġh-zār az shāḳh-sār aamad

bahār aamad nigār aamad nigār aamad qarār aamad

kashīd abr-e-bahārī ḳhema andar vaadī o sahrā

sadā-e-ābshārāñ az farāz-e-koh-sār aamad

sarat gardam toham qānūn peshīñ saaz dah saaqī

ki ḳhail-e-naġhma-pardāzāñ qatār andar qatār aamad

kanār az zāhidāñ bar-gīr o bebākāna sāġhar-kash

pas az muddat aziiñ shāḳh-e-kuhan bāñg-e-hazār aamad

ba-mushtāqāñ hadīs-e-ḳhvājā-e-badro hunain aavar

tasarruf-hā-e-pinhānash ba-chashm-e-āshkār aamad

digar shāḳh-e-ḳhalīl az ḳhūn-e-mā namnāk mī gardad

ba-bāzār-e-mohabbat naqd-e-mā kāmil ayyār aamad

sar-e-ḳhāk-e-shahīre barg-hā-e-lāla mī pāsham

ki ḳhūnash bā-nihāl-e-millat-e-mā sāzgār aamad

bayā tā-gul bā-afmaishānīm o mai dar sāġhar andāzem

falak rā saqf ba-shagāfem o tarh-e-dīgar andāzem

Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā

%d bloggers like this: