walida marhuma ki yaad mein

Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn

zarra zarra dahr kā zindāni-e-taqdīr hai

parda-e-majbūrī o bechārgī tadbīr hai

āsmāñ majbūr hai shams o qamar majbūr haiñ

anjum-e-sīmāb-pā raftār par majbūr haiñ

hai shikast anjām ġhunche kā subū gulzār meñ

sabza o gul bhī haiñ majbūr-e-numū gulzār meñ

naġhma-e-bulbul ho yā āvāz-e-ḳhāmosh-e-zamīr

hai isī zanjīr-e-ālam-gīr meñ har shai asiir

aañkh par hotā hai jab ye sirr-e-majbūrī ayaañ

ḳhushk ho jaatā hai dil meñ ashk kā sail-e-ravāñ

qalb-e-insānī meñ raqs-e-aish-o-ġham rahtā nahīñ

naġhma rah jaatā hai lutf-e-zer-o-bam rahtā nahīñ

ilm o hikmat rahzan-e-sāmān-e-ashk-o-āh hai

yaanī ik almās kā TukḌā dil-e-āgāh hai

garche mere baaġh meñ shabnam kī shādābī nahīñ

aañkh merī māya-dār-e-ashk-e-unnābī nahīñ

jāntā huuñ aah meñ ālām-e-insānī kā raaz

hai navā-e-shikva se ḳhālī mirī fitrat kā saaz

mere lab par qissa-e-nairañgi-e-daurāñ nahīñ

dil mirā hairāñ nahīñ ḳhanda nahīñ giryāñ nahīñ

par tirī tasvīr qāsid girya-e-paiham kī hai

aah ye tardīd merī hikmat-e-mohkam kī hai

girya-e-sarshār se buniyād-e-jāñ pā.inda hai

dard ke irfāñ se aql-e-sañg-dil sharminda hai

mauj-e-dūd-e-āh se ā.īna hai raushan mirā

ganj-e-āb-āvrd se māmūr hai dāman mirā

hairatī huuñ maiñ tirī tasvīr ke ejaaz kā

ruḳh badal Daalā hai jis ne vaqt kī parvāz kā

rafta o hāzir ko goyā pā-ba-pā is ne kiyā

ahd-e-tiflī se mujhe phir āshnā is ne kiyā

jab tire dāman meñ paltī thī vo jān-e-nā-tavāñ

baat se achchhī tarah mahram na thī jis kī zabāñ

aur ab charche haiñ jis kī shoḳhi-e-guftār ke

be-bahā motī haiñ jis kī chashm-e-gauhar-bār ke

ilm kī sañjīda-guftārī buḌhāpe kā shu.ūr

dunyavī ezaaz kī shaukat javānī kā ġhurūr

zindagī kī auj-gāhoñ se utar aate haiñ ham

sohbat-e-mādar meñ tifl-e-sāda rah jaate haiñ ham

be-takalluf ḳhanda-zan haiñ fikr se āzād haiñ

phir usī kho.e hue firdaus meñ ābād haiñ

kis ko ab hogā vatan meñ aah merā intizār

kaun merā ḳhat na aane se rahegā be-qarār

ḳhāk-e-marqad par tirī le kar ye fariyād ā.ūñgā

ab duā-e-nīm-shab meñ kis ko maiñ yaad ā.ūñgā

tarbiyat se terī meñ anjum kā ham-qismat huā

ghar mire ajdād kā sarmāya-e-izzat huā

daftar-e-hastī meñ thī zarrīñ varaq terī hayāt

thī sarāpā diin o duniyā kā sabaq terī hayāt

umr bhar terī mohabbat merī ḳhidmat-gar rahī

maiñ tirī ḳhidmat ke qābil jab huā tū chal basī

vo javāñ-qāmat meñ hai jo sūrat-e-sarv-e-buland

terī ḳhidmat se huā jo mujh se baḌh kar bahra-mand

kārobār-e-zindagānī meñ vo ham-pahlū mirā

vo mohabbat meñ tirī tasvīr vo baazū mirā

tujh ko misl-e-tiflak-e-be-dast-o-pā rotā hai vo

sabr se nā-āshnā sub.h o masā rotā hai vo

tuḳhm jis kā tū hamārī kisht-e-jāñ meñ bo ga.ī

shirkat-e-ġham se vo ulfat aur mohkam ho ga.ī

aah ye duniyā ye mātam-ḳhāna-e-barnā-o-pīr

aadmī hai kis tilism-e-dosh-o-fardā meñ asiir

kitnī mushkil zindagī hai kis qadar āsāñ hai maut

gulshan-e-hastī meñ mānind-e-nasīm arzāñ hai maut

zalzale haiñ bijliyāñ haiñ qaht haiñ ālām haiñ

kaisī kaisī duḳhtarān-e-mādar-e-ayyām haiñ

kalba-e-iflās meñ daulat ke kāshāne meñ maut

dasht o dar meñ shahr meñ gulshan meñ vīrāne meñ maut

maut hai hañgāma-ārā qulzum-e-ḳhāmosh meñ

Duub jaate haiñ safīne mauj kī āġhosh meñ

ne majāl-e-shikva hai ne tāqat-e-guftār hai

zindagānī kyā hai ik tauq-e-gulū-afshār hai

qāfile meñ ġhair fariyād-e-dirā kuchh bhī nahīñ

ik matā-e-dīda-e-tar ke sivā kuchh bhī nahīñ

ḳhatm ho jā.egā lekin imtihāñ kā daur bhī

haiñ pas-e-noh parda-e-gardūñ abhī daur aur bhī

siina chaak is gulsitāñ meñ lāla-o-gul haiñ to kyā

naala o fariyād par majbūr bulbul haiñ to kyā

jhāḌiyāñ jin ke qafas meñ qaid hai āh-e-ḳhizāñ

sabz kar degī unheñ bād-e-bahār-e-jāvedāñ

ḳhufta-ḳhāk-e-pai sipar meñ hai sharār apnā to kyā

aarzī mahmil hai ye musht-e-ġhubār apnā to kyā

zindagī kī aag kā anjām ḳhākistar nahīñ

TūTnā jis kā muqaddar ho ye vo gauhar nahīñ

zindagī mahbūb aisī dīda-e-qudrat meñ hai

zauq-e-hifz-e-zindagī har chiiz kī fitrat meñ hai

maut ke hāthoñ se miT saktā agar naqsh-e-hayāt

aam yuuñ us ko na kar detā nizām-e-kā.enāt

hai agar arzāñ to ye samjho ajal kuchh bhī nahīñ

jis tarah sone se jiine meñ ḳhalal kuchh bhī nahīñ

aah ġhāfil maut kā rāz-e-nihāñ kuchh aur hai

naqsh kī nā-pā.edārī se ayaañ kuchh aur hai

jannat-e-nazāra hai naqsh-e-havā bālā-e-āb

mauj-e-muztar toḌ kar tāmīr kartī hai habāb

mauj ke dāman meñ phir us ko chhupā detī hai ye

kitnī bedardī se naqsh apnā miTā detī hai ye

phir na kar saktī habāb apnā agar paidā havā

toḌne meñ us ke yuuñ hotī na be-parvā havā

is ravish kā kyā asar hai haiyat-e-tāmīr par

ye to hujjat hai havā kī quvvat-e-tāmīr par

fitrat-e-hastī shahīd-e-ārzū rahtī na ho

ḳhūb-tar paikar kī us ko justujū rahtī na ho

aah sīmāb-e-pareshāñ anjum-e-gardūñ-faroz

shoḳh ye chiñgāriyāñ mamnūn-e-shab hai jin kā soz

aql jis se sar-ba-zānū hai vo muddat in kī hai

sarguzisht-e-nau-e-insāñ ek saa.at un kī hai

phir ye insāñ aañ sū-e-aflāk hai jis kī nazar

qudsiyoñ se bhī maqāsid meñ hai jo pākīza-tar

jo misāl-e-sham.a raushan mahfil-e-qudrat meñ hai

āsmāñ ik nuqta jis kī vus.at-e-fitrat meñ hai

jis kī nādānī sadāqat ke liye betāb hai

jis kā nāḳhun sāz-e-hastī ke liye mizrāb hai

shola ye kam-tar hai gardūñ ke sharāroñ se bhī kyā

kam-bahā hai āftāb apnā sitāroñ se bhī kyā

tuḳhm-e-gul kī aañkh zer-e-ḳhāk bhī be-ḳhvāb hai

kis qadar nashv-o-numā ke vāste betāb hai

zindagī kā shola is daane meñ jo mastūr hai

ḳhud-numā.ī ḳhud-fazā.ī ke liye majbūr hai

sardi-e-marqad se bhī afsurda ho saktā nahīñ

ḳhaak meñ dab kar bhī apnā soz kho saktā nahīñ

phuul ban kar apnī turbat se nikal aatā hai ye

maut se goyā qabā-e-zindagī paatā hai ye

hai lahad is quvvat-e-āshufta kī shīrāza-band

Dāltī hai gardan-e-gardūñ meñ jo apnī kamand

maut tajdīd-e-mazāq-e-zindagī kā naam hai

ḳhvāb ke parde meñ bedārī kā ik paiġhām hai

ḳhūgar-e-parvāz ko parvāz meñ Dar kuchh nahīñ

maut is gulshan meñ juz sanjīdan-e-par kuchh nahīñ

kahte haiñ ahl-e-jahāñ dard-e-ajal hai lā-davā

zaḳhm-e-furqat vaqt ke marham se paatā hai shifā

dil magar ġham marne vāloñ kā jahāñ ābād hai

halqa-e-zanjīr-e-sub.h-o-shām se āzād hai

vaqt ke afsūñ se thamtā nāla-e-mātam nahīñ

vaqt zaḳhm-e-teġh-e-furqat kā koī marham nahīñ

sar pe aa jaatī hai jab koī musībat nā-gahāñ

ashk paiham dīda-e-insāñ se hote haiñ ravāñ

rabt ho jaatā hai dil ko naala o fariyād se

ḳhūn-e-dil bahtā hai āñkhoñ kī sarishk-ābād se

aadmī tāb-e-shakebā.ī se go mahrūm hai

us kī fitrat meñ ye ik ehsās-e-nā-mālūm hai

jauhar-e-insāñ adam se āshnā hotā nahīñ

aañkh se ġhā.eb to hotā hai fanā hotā nahīñ

raḳht-e-hastī ḳhāk-e-ġham kī shola-afshānī se hai

sard ye aag is latīf ehsās ke paanī se hai

aah ye zabt-e-fuġhāñ ġhaflat kī ḳhāmoshī nahīñ

āgahī hai ye dilāsā.ī farāmoshī nahīñ

parda-e-mashriq se jis dam jalva-gar hotī hai sub.h

daaġh shab kā dāman-e-āfāq se dhotī hai sub.h

lāla-e-afsurda ko ātish-qabā kartī hai ye

be-zabāñ taa.ir ko sarmast-e-navā kartī hai ye

sīna-e-bulbul ke zindāñ se sarod āzād hai

saikḌoñ naġhmoñ se bād-e-sub.h-dam-ābād hai

ḳhuftagān-e-lāla-zār o kohsār o ruud baar

hote haiñ āḳhir urūs-e-zindagī se ham-kanār

ye agar ā.īn-e-hastī hai ki ho har shaam sub.h

marqad-e-insāñ kī shab kā kyuuñ na ho anjām sub.h

dām-e-sīmīn-e-taḳhayyul hai mirā āfāq-gīr

kar liyā hai jis se terī yaad ko maiñ ne asiir

yaad se terī dil-e-dard āshnā māmūr hai

jaise ka.abe meñ duāoñ se fazā māmūr hai

vo farā.ez kā tasalsul naam hai jis kā hayāt

jalva-gāheñ us kī haiñ lākhoñ jahān-e-be-sabāt

muḳhtalif har manzil-e-hastī ko rasm-o-rāh hai

āḳhirat bhī zindagī kī ek jaulāñ-gāh hai

hai vahāñ be-hāsilī kisht-e-ajal ke vāste

sāzgār āb-o-havā tuḳhm-e-amal ke vāste

nūr-e-fitrat zulmat-e-paikar kā zindānī nahīñ

tañg aisā halqa-e-afkār-e-insānī nahīñ

zindagānī thī tirī mahtāb se tābinda-tar

ḳhūb-tar thā sub.h ke taare se bhī terā safar

misl-e-aivān-e-sahar marqad farozāñ ho tirā

nuur se māmūr ye ḳhākī shabistāñ ho tirā

āsmāñ terī lahad par shabnam-afshānī kare

sabza-e-nau-rasta is ghar kī nigahbānī kare

Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā

%d bloggers like this: