vaqt kī piiTh par
kachche lamhoñ ke dhāgoñ meñ lipTā huā
shahr kī sīḌhiyoñ par saraktā huā
nit na.e
ḳhud-kushī ke tarīqoñ kā mūjid banā
habshī rātoñ ke jañgal meñ bikhrī huī
lams kī haDDiyāñ
chun rahā huuñ na jaane maiñ kis ke liye
jab mire naam ke lafz tanhā the logo
tumheñ surḳh hoñToñ kī ḳhairāt
kaise milī ye batāo
refrigerator meñ rakkhī huī tashtarī meñ
mirī donoñ āñkheñ barahna paḌī thiiñ
vahāñ tak kisī ḳhvāb ke haath pahuñche nahīñ
kabūtar kī āñkhoñ meñ
TuuTe hue āsmānoñ kā tanazzul na dekho
badan ke shikasta khañDar se nikal bhāgne ke liye phir
tumhārī madad kī zarūrat hai mujh ko